Ghazal

दिल गया रौनक़-ए-हयात गई

Jigar Moradabadi· Ghazal· 14 shers· radif: गई

This ghazal captures the profound sorrow of losing one's heart in love, lamenting that all the joy and vitality of life vanish along with it. Through poignant moments of averted gazes and unexpressed words, it delicately reflects the fleeting nature of romantic intimacy and the lingering ache of heartbreak.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
दिल गया रौनक़-ए-हयात गई ग़म गया सारी काएनात गई
dil gayā raunaq-e-hayāt ga.ī ġham gayā saarī kā.enāt ga.ī
2
दिल धड़कते ही फिर गई वो नज़र लब तक आई न थी कि बात गई
dil dhaḌakte hī phir ga.ī vo nazar lab tak aa.ī na thī ki baat ga.ī
3
दिन का क्या ज़िक्र तीरा-बख़्तों में एक रात आई एक रात गई
din kā kyā zikr tīra-baḳhtoñ meñ ek raat aa.ī ek raat ga.ī
4
तेरी बातों से आज तो वाइ'ज़ वो जो थी ख़्वाहिश-ए-नजात गई
terī bātoñ se aaj to vaa.iz vo jo thī ḳhvāhish-e-najāt ga.ī
5
उन के बहलाए भी न बहला दिल राएगाँ सई-ए-इल्तिफ़ात गई
un ke bahlā.e bhī na bahlā dil rā.egāñ sa.ī-e-iltifāt ga.ī
6
मर्ग-ए-आशिक़ तो कुछ नहीं लेकिन इक मसीहा-नफ़स की बात गई
marg-e-āshiq to kuchh nahīñ lekin ik masīhā-nafas kī baat ga.ī
7
अब जुनूँ आप है गरेबाँ-गीर अब वो रस्म-ए-तकल्लुफ़ात गई
ab junūñ aap hai garebāñ-gīr ab vo rasm-e-takallufāt ga.ī
8
हम ने भी वज़-ए-ग़म बदल डाली जब से वो तर्ज़-ए-इल्तिफ़ात गई
ham ne bhī vaz-e-ġham badal Daalī jab se vo tarz-e-iltifāt ga.ī
9
तर्क-ए-उल्फ़त बहुत बजा नासेह लेकिन उस तक अगर ये बात गई
tark-e-ulfat bahut bajā nāseh lekin us tak agar ye baat ga.ī
10
हाँ मज़े लूट ले जवानी के फिर न आएगी ये जो रात गई
haañ maze luuT le javānī ke phir na aa.egī ye jo raat ga.ī
11
हाँ ये सरशारियाँ जवानी की आँख झपकी ही थी कि रात गई
haañ ye sarshāriyāñ javānī kī aañkh jhapkī hī thī ki raat ga.ī
12
जल्वा-ए-ज़ात ऐ मआ'ज़-अल्लाह ताब-ए-आईना-ए-सिफ़ात गई
jalva-e-zāt ai ma.āz-allāh tāb-e-ā.īna-e-sifāt ga.ī
13
नहीं मिलता मिज़ाज-ए-दिल हम से ग़ालिबन दूर तक ये बात गई
nahīñ miltā mizāj-e-dil ham se ġhāliban duur tak ye baat ga.ī
14
क़ैद-ए-हस्ती से कब नजात 'जिगर' मौत आई अगर हयात गई
qaid-e-hastī se kab najāt 'jigar' maut aa.ī agar hayāt ga.ī
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.