Ghazal
हंगामा है क्यूँ बरपा थोड़ी सी जो पी ली है
In this witty and playfully defiant ghazal, the poet satirizes societal hypocrisy and the moralizer's hollow judgments over indulging in wine. With a lighthearted yet piercing tone, he defends personal freedom and argues that those lacking genuine experience have no right to condemn life's harmless pleasures.
Source: rekhta · HI
Listen
No song yet
1
हंगामा है क्यूँ बरपा थोड़ी सी जो पी ली है
डाका तो नहीं मारा चोरी तो नहीं की है
hañgāma hai kyuuñ barpā thoḌī sī jo pī lī hai
Daakā to nahīñ maarā chorī to nahīñ kī hai
2
ना-तजरबा-कारी से वाइ'ज़ की ये हैं बातें
इस रंग को क्या जाने पूछो तो कभी पी है
nā-tajraba-kārī se vaa.iz kī ye haiñ bāteñ
is rañg ko kyā jaane pūchho to kabhī pī hai
3
उस मय से नहीं मतलब दिल जिस से है बेगाना
मक़्सूद है उस मय से दिल ही में जो खिंचती है
us mai se nahīñ matlab dil jis se hai begāna
maqsūd hai us mai se dil hī meñ jo khiñchtī hai
4
ऐ शौक़ वही मय पी ऐ होश ज़रा सो जा
मेहमान-ए-नज़र इस दम एक बर्क़-ए-तजल्ली है
ai shauq vahī mai pī ai hosh zarā so jā
mehmān-e-nazar is dam ek barq-e-tajallī hai
5
वाँ दिल में कि सदमे दो याँ जी में कि सब सह लो
उन का भी अजब दिल है मेरा भी अजब जी है
vaañ dil meñ ki sadme do yaañ jī meñ ki sab sah lo
un kā bhī ajab dil hai merā bhī ajab jī hai
6
हर ज़र्रा चमकता है अनवार-ए-इलाही से
हर साँस ये कहती है हम हैं तो ख़ुदा भी है
har zarra chamaktā hai anvār-e-ilāhī se
har saañs ye kahtī hai ham haiñ to ḳhudā bhī hai
7
सूरज में लगे धब्बा फ़ितरत के करिश्मे हैं
बुत हम को कहें काफ़िर अल्लाह की मर्ज़ी है
sūraj meñ lage dhabbā fitrat ke karishme haiñ
but ham ko kaheñ kāfir allāh kī marzī hai
8
तालीम का शोर ऐसा तहज़ीब का ग़ुल इतना
बरकत जो नहीं होती निय्यत की ख़राबी है
ta.alīm kā shor aisā tahzīb kā ġhul itnā
barakat jo nahīñ hotī niyyat kī ḳharābī hai
9
सच कहते हैं शैख़ 'अकबर' है ताअत-ए-हक़ लाज़िम
हाँ तर्क-ए-मय-ओ-शाहिद ये उन की बुज़ुर्गी है
sach kahte haiñ shaiḳh 'akbar' hai tā.at-e-haq lāzim
haañ tark-e-mai-o-shāhid ye un kī buzurgī hai
Comments · 0
Free — just your email. You'll come right back here.
No comments yet. Be the first.
