Ghazal

जुनूँ कार-फ़रमा हुआ चाहता है

Altaf Hussain Hali· Ghazal· 12 shers· radif: हुआ चाहता है

This ghazal captures the overwhelming onset of madness and all-consuming passion (junoon), compelling the lover to abandon the world for the solitude of the desert. Through imagery of relentless tears swelling into rivers, it portrays the profound grief, longing, and emotional intensity brought on by the memory of the beloved.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
जुनूँ कार-फ़रमा हुआ चाहता है क़दम दश्त पैमा हुआ चाहता है
junūñ kār-farmā huā chāhtā hai qadam dasht paimā huā chāhtā hai
2
दम-ए-गिर्या किस का तसव्वुर है दिल में कि अश्क अश्क दरिया हुआ चाहता है
dam-e-girya kis kā tasavvur hai dil meñ ki ashk ashk dariyā huā chāhtā hai
3
ख़त आने लगे शिकवा-आमेज़ उन के मिलाप उन से गोया हुआ चाहता है
ḳhat aane lage shikva-āmez un ke milāp un se goyā huā chāhtā hai
4
बहुत काम लेने थे जिस दिल से हम को वो सर्फ़-ए-तमन्ना हुआ चाहता है
bahut kaam lene the jis dil se ham ko vo sarf-e-tamannā huā chāhtā hai
5
अभी लेने पाए नहीं दम जहाँ में अजल का तक़ाज़ा हुआ चाहता है
abhī lene paa.e nahīñ dam jahāñ meñ ajal kā taqāzā huā chāhtā hai
6
मुझे कल के वादे पे करते हैं रुख़्सत कोई वा'दा पूरा हुआ चाहता है
mujhe kal ke vaade pe karte haiñ ruḳhsat koī va.ada puurā huā chāhtā hai
7
फ़ुज़ूँ तर है कुछ इन दिनों ज़ौक़-ए-इस्याँ दर-ए-रहमत अब वा हुआ चाहता है
fuzūñ tar hai kuchh in dinoñ zauq-e-isyāñ dar-e-rahmat ab vā huā chāhtā hai
8
क़लक़ गर यही है तो राज़-ए-निहानी कोई दिन में रुस्वा हुआ चाहता है
qalaq gar yahī hai to rāz-e-nihānī koī din meñ rusvā huā chāhtā hai
9
वफ़ा शर्त-ए-उल्फ़त है लेकिन कहाँ तक दिल अपना भी तुझ सा हुआ चाहता है
vafā shart-e-ulfat hai lekin kahāñ tak dil apnā bhī tujh sā huā chāhtā hai
10
बहुत हज़ उठाता है दिल तुझ से मिल कर क़लक़ देखिए क्या हुआ चाहता है
bahut haz uThātā hai dil tujh se mil kar qalaq dekhiye kyā huā chāhtā hai
11
ग़म-ए-रश्क को तल्ख़ समझे थे हमदम सो वो भी गवारा हुआ चाहता है
ġham-e-rashk ko talḳh samjhe the hamdam so vo bhī gavārā huā chāhtā hai
12
बहुत चैन से दिन गुज़रते हैं 'हाली' कोई फ़ित्ना बरपा हुआ चाहता है
bahut chain se din guzarte haiñ 'hālī' koī fitna barpā huā chāhtā hai
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

जुनूँ कार-फ़रमा हुआ चाहता है | Sukhan AI