Ghazal

जब यास हुई तो आहों ने सीने से निकलना छोड़ दिया

Akbar Allahabadi· Ghazal· 11 shers· radif: छोड़ दिया

This ghazal portrays a state of profound despair and resignation where grief becomes so overwhelming that sighs, tears, and longing cease completely. Using the imagery of a silent wilderness paralyzed by a cruel hunter's arrows, the poet poignantly captures the emotional numbness and complete desolation of the soul.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
जब यास हुई तो आहों ने सीने से निकलना छोड़ दिया अब ख़ुश्क-मिज़ाज आँखें भी हुईं दिल ने भी मचलना छोड़ दिया
jab yaas huī to aahoñ ne siine se nikalnā chhoḌ diyā ab ḳhushk-mizāj āñhkeñ bhī huiiñ dil ne bhī machalnā chhoḌ diyā
2
नावक-फ़गनी से ज़ालिम की जंगल में है इक सन्नाटा सा मुर्ग़ान-ए-ख़ुश-अलहाँ हो गए चुप आहू ने उछलना छोड़ दिया
navak-faganī se zālim kī jañgal meñ hai ik sannāTā sā murġhān-e-ḳhush-alhāñ ho ga.e chup aahū ne uchhalnā chhoḌ diyā
3
क्यूँ किब्र-ओ-ग़ुरूर इस दौर पे है क्यूँ दोस्त फ़लक को समझा है गर्दिश से ये अपनी बाज़ आया या रंग बदलना छोड़ दिया
kyuuñ kibr-o-ġhurūr is daur pe hai kyuuñ dost falak ko samjhā hai gardish se ye apnī baaz aayā yā rañg badalnā chhoḌ diyā
4
बदली वो हवा गुज़रा वो समाँ वो राह नहीं वो लोग नहीं तफ़रीह कहाँ और सैर कुजा घर से भी निकलना छोड़ दिया
badlī vo havā guzrā vo samāñ vo raah nahīñ vo log nahīñ tafrīh kahāñ aur sair kujā ghar se bhī nikalnā chhoḌ diyā
5
वो सोज़-ओ-गुदाज़ उस महफ़िल में बाक़ी न रहा अंधेर हुआ परवानों ने जलना छोड़ दिया शम्ओं ने पिघलना छोड़ दिया
vo soz-o-gudāz us mahfil meñ baaqī na rahā andher huā parvānoñ ne jalnā chhoḌ diyā sham.oñ ne pighalnā chhoḌ diyā
6
हर गाम पे चंद आँखें निगराँ हर मोड़ पे इक लेसंस-तलब उस पार्क में आख़िर ऐ 'अकबर' मैं ने तो टहलना छोड़ दिया
har gaam pe chand āñhkeñ nigarāñ har moḌ pe ik licence-talab us park meñ āḳhir ai 'akbar' maiñ ne to Tahalnā chhoḌ diyā
7
क्या दीन को क़ुव्वत दें ये जवाँ जब हौसला-अफ़्ज़ा कोई नहीं क्या होश सँभालें ये लड़के ख़ुद उस ने सँभलना छोड़ दिया
kyā diin ko quvvat deñ ye javāñ jab hausla-afzāñ koī nahīñ kyā hosh sambhāleñ ye laḌke ḳhud us ne sambhalnā chhoḌ diyā
8
इक़बाल मुसाइद जब न रहा रक्खे ये क़दम जिस मंज़िल में अश्जार से साया दूर हुआ चश्मों ने उबलना छोड़ दिया
iqbāl musā.id jab na rahā rakkhe ye qadam jis manzil meñ ashjār se saaya duur huā chashmoñ ne ubalnā chhoḌ diyā
9
अल्लाह की राह अब तक है खुली आसार-ओ-निशाँ सब क़ाएम हैं अल्लाह के बंदों ने लेकिन उस राह में चलना छोड़ दिया
allāh kī raah ab tak hai khulī āsār-o-nishāñ sab qaa.em haiñ allāh ke bandoñ ne lekin us raah meñ chalnā chhoḌ diyā
10
जब सर में हवा-ए-ताअत थी सरसब्ज़ शजर उम्मीद का था जब सर-सर-ए-इस्याँ चलने लगी इस पेड़ ने फलना छोड़ दिया
jab sar meñ havā-e-tā.at thī sarsabz shajar ummīd kā thā jab sar-sar-e-isyāñ chalne lagī is peḌ ne phalnā chhoḌ diyā
11
उस हूर-लक़ा को घर लाए हो तुम को मुबारक ऐ 'अकबर' लेकिन ये क़यामत की तुम ने घर से जो निकलना छोड़ दिया
us hūr-laqā ko ghar laa.e ho tum ko mubārak ai 'akbar' lekin ye qayāmat kī tum ne ghar se jo nikalnā chhoḌ diyā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.