Ghazal

दिल में किसी के राह किए जा रहा हूँ मैं

Jigar Moradabadi· Ghazal· 13 shers· radif: किए जा रहा हूँ मैं

This ghazal portrays the intoxicating paradox of love, where making a path into the beloved's heart is embraced as an exquisite and beautiful sin. Even with the conscious realization of his inner world unraveling into sighs and longing, the poet surrenders willingly to the self-destructive charm of romance.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
दिल में किसी के राह किए जा रहा हूँ मैं कितना हसीं गुनाह किए जा रहा हूँ मैं
dil meñ kisī ke raah kiye jā rahā huuñ maiñ kitnā hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
2
दुनिया-ए-दिल तबाह किए जा रहा हूँ मैं सर्फ़-ए-निगाह-ओ-आह किए जा रहा हूँ मैं
duniyā-e-dil tabāh kiye jā rahā huuñ maiñ sarf-e-nigāh-o-āh kiye jā rahā huuñ maiñ
3
फ़र्द-ए-अमल सियाह किए जा रहा हूँ मैं रहमत को बे-पनाह किए जा रहा हूँ मैं
fard-e-amal siyāh kiye jā rahā huuñ maiñ rahmat ko be-panāh kiye jā rahā huuñ maiñ
4
ऐसी भी इक निगाह किए जा रहा हूँ मैं ज़र्रों को मेहर-ओ-माह किए जा रहा हूँ मैं
aisī bhī ik nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ zarroñ ko mehr-o-māh kiye jā rahā huuñ maiñ
5
मुझ से लगे हैं इश्क़ की अज़्मत को चार चाँद ख़ुद हुस्न को गवाह किए जा रहा हूँ मैं
mujh se lage haiñ ishq kī azmat ko chaar chāñd ḳhud husn ko gavāh kiye jā rahā huuñ maiñ
6
दफ़्तर है एक मानी-ए-बे-लफ़्ज़-ओ-सौत का सादा सी जो निगाह किए जा रहा हूँ मैं
daftar hai ek māni-e-be-lafz-o-saut kā saada sī jo nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
7
आगे क़दम बढ़ाएँ जिन्हें सूझता नहीं रौशन चराग़-ए-राह किए जा रहा हूँ मैं
aage qadam baḌhā.eñ jinheñ sūjhtā nahīñ raushan charāġh-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
8
मासूमी-ए-जमाल को भी जिन पे रश्क है ऐसे भी कुछ गुनाह किए जा रहा हूँ मैं
māsūmi-e-jamāl ko bhī jin pe rashk hai aise bhī kuchh gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
9
तन्क़ीद-ए-हुस्न मस्लहत-ए-ख़ास-ए-इश्क़ है ये जुर्म गाह गाह किए जा रहा हूँ मैं
tanqīd-e-husn maslahat-e-ḳhās-e-ishq hai ye jurm gaah gaah kiye jā rahā huuñ maiñ
10
उठती नहीं है आँख मगर उस के रू-ब-रू नादीदा इक निगाह किए जा रहा हूँ मैं
uThtī nahīñ hai aañkh magar us ke rū-ba-rū nādīda ik nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
11
गुलशन-परस्त हूँ मुझे गुल ही नहीं अज़ीज़ काँटों से भी निबाह किए जा रहा हूँ मैं
gulshan-parast huuñ mujhe gul hī nahīñ aziiz kāñToñ se bhī nibāh kiye jā rahā huuñ maiñ
12
यूँ ज़िंदगी गुज़ार रहा हूँ तिरे बग़ैर जैसे कोई गुनाह किए जा रहा हूँ मैं
yuuñ zindagī guzār rahā huuñ tire baġhair jaise koī gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
13
मुझ से अदा हुआ है 'जिगर' जुस्तुजू का हक़ हर ज़र्रे को गवाह किए जा रहा हूँ मैं
mujh se adā huā hai 'jigar' justujū kā haq har zarre ko gavāh kiye jā rahā huuñ maiñ
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.