Ghazal

हूँ मैं परवाना मगर शम्अ तो हो रात तो हो

Akbar Allahabadi· Ghazal· 8 shers· radif: तो हो

In this ghazal, the poet expresses a profound willingness to surrender his life and heart for love, yet laments the absence of a worthy beloved or a compelling cause for such sacrifice. The tone combines unconditional devotion with a melancholic yearning for a true focal point of love.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
हूँ मैं परवाना मगर शम्अ तो हो रात तो हो जान देने को हूँ मौजूद कोई बात तो हो
huuñ maiñ parvāna magar sham.a to ho raat to ho jaan dene ko huuñ maujūd koī baat to ho
2
दिल भी हाज़िर सर-ए-तस्लीम भी ख़म को मौजूद कोई मरकज़ हो कोई क़िबला-ए-हाजात तो हो
dil bhī hāzir sar-e-taslīm bhī ḳham ko maujūd koī markaz ho koī qibla-e-hājāt to ho
3
दिल तो बेचैन है इज़हार-ए-इरादत के लिए किसी जानिब से कुछ इज़हार-ए-करामात तो हो
dil to bechain hai iz.hār-e-irādat ke liye kisī jānib se kuchh iz.hār-e-karāmāt to ho
4
दिल-कुशा बादा-ए-साफ़ी का किसे ज़ौक़ नहीं बातिन-अफ़रोज़ कोई पीर-ए-ख़राबात तो हो
dil-kushā bāda-e-sāfī kā kise zauq nahīñ bātin-afroz koī pīr-e-ḳharābāt to ho
5
गुफ़्तनी है दिल-ए-पुर-दर्द का क़िस्सा लेकिन किस से कहिए कोई मुस्तफ़्सिर-ए-हालात तो हो
guftanī hai dil-e-pur-dard kā qissa lekin kis se kahiye koī mustafsir-e-hālāt to ho
6
दास्तान-ए-ग़म-ए-दिल कौन कहे कौन सुने बज़्म में मौक़ा-ए-इज़हार-ए-ख़यालात तो हो
dāstān-e-ġham-e-dil kaun kahe kaun sune bazm meñ mauqa-e-iz.hār-e-ḳhayālāt to ho
7
वादे भी याद दिलाते हैं गिले भी हैं बहुत वो दिखाई भी तो दें उन से मुलाक़ात तो हो
vaade bhī yaad dilāte haiñ gile bhī haiñ bahut vo dikhā.ī bhī to deñ un se mulāqāt to ho
8
कोई वाइ'ज़ नहीं फ़ितरत से बलाग़त में सिवा मगर इंसान में कुछ फ़हम-ए-इशारात तो हो
koī vaa.iz nahīñ fitrat se balāġhat meñ sivā magar insān meñ kuchh fahm-e-ishārāt to ho
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.