Ghazal

फ़लसफ़ी को बहस के अंदर ख़ुदा मिलता नहीं

Akbar Allahabadi· Ghazal· 17 shers· radif: मिलता नहीं

This ghazal critiques sterile philosophical debate and mere intellect as means of realizing the Divine. It emphasizes that reaching spiritual truth and finding God is impossible through endless argumentation, especially when an individual remains completely oblivious to their own inner self.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
फ़लसफ़ी को बहस के अंदर ख़ुदा मिलता नहीं डोर को सुलझा रहा है और सिरा मिलता नहीं
falsafī ko bahs ke andar ḳhudā miltā nahīñ Dor ko suljhā rahā hai aur sirā miltā nahīñ
2
मा'रिफ़त ख़ालिक़ की आलम में बहुत दुश्वार है शहर-ए-तन में जब कि ख़ुद अपना पता मिलता नहीं
ma.arifat ḳhāliq kī aalam meñ bahut dushvār hai shahr-e-tan meñ jab ki ḳhud apnā patā miltā nahīñ
3
ग़ाफ़िलों के लुत्फ़ को काफ़ी है दुनियावी ख़ुशी आक़िलों को बे-ग़म-ए-उक़्बा मज़ा मिलता नहीं
ġhāfiloñ ke lutf ko kaafī hai duniyāvī ḳhushī āqiloñ ko be-ġham-e-uqbā mazā miltā nahīñ
4
कश्ती-ए-दिल की इलाही बहर-ए-हस्ती में हो ख़ैर नाख़ुदा मिलते हैं लेकिन बा-ख़ुदा मिलता नहीं
kashti-e-dil kī ilāhī bahr-e-hastī meñ ho ḳhair nāḳhudā milte haiñ lekin bā-ḳhudā miltā nahīñ
5
ग़ाफ़िलों को क्या सुनाऊँ दास्तान-ए-इश्क़-ए-यार सुनने वाले मिलते हैं दर्द-आश्ना मिलता नहीं
ġhāfiloñ ko kyā sunā.ūñ dāstān-e-ishq-e-yār sunñe vaale milte haiñ dard-āshnā miltā nahīñ
6
ज़िंदगानी का मज़ा मिलता था जिन की बज़्म में उन की क़ब्रों का भी अब मुझ को पता मिलता नहीं
zindagānī kā mazā miltā thā jin kī bazm meñ un kī qabroñ kā bhī ab mujh ko patā miltā nahīñ
7
सिर्फ़ ज़ाहिर हो गया सरमाया-ए-ज़ेब-ओ-सफ़ा क्या तअ'ज्जुब है जो बातिन बा-सफ़ा मिलता नहीं
sirf zāhir ho gayā sarmāya-e-zeb-o-safā kyā ta.ajjub hai jo bātin bā-safā miltā nahīñ
8
पुख़्ता तबओं पर हवादिस का नहीं होता असर कोहसारों में निशान-ए-नक़्श-ए-पा मिलता नहीं
puḳhta tabaoñ par havādis kā nahīñ hotā asar kohsāroñ meñ nishān-e-naqsh-e-pā miltā nahīñ
9
शैख़-साहिब बरहमन से लाख बरतें दोस्ती बे-भजन गाए तो मंदिर से टिका मिलता नहीं
shaiḳh-sāhib barhaman se laakh barteñ dostī be-bhajan gaa.e to mandir se Tikā miltā nahīñ
10
जिस पे दिल आया है वो शीरीं-अदा मिलता नहीं ज़िंदगी है तल्ख़ जीने का मज़ा मिलता नहीं
jis pe dil aayā hai vo shīrīñ-adā miltā nahīñ zindagī hai talḳh jiine kā mazā miltā nahīñ
11
लोग कहते हैं कि बद-नामी से बचना चाहिए कह दो बे उस के जवानी का मज़ा मिलता नहीं
log kahte haiñ ki bad-nāmī se bachnā chāhiye keh do be us ke javānī kā mazā miltā nahīñ
12
अहल-ए-ज़ाहिर जिस क़दर चाहें करें बहस-ओ-जिदाल मैं ये समझा हूँ ख़ुदी में तो ख़ुदा मिलता नहीं
ahl-e-zāhir jis qadar chāheñ kareñ bahs-o-jidāl maiñ ye samjhā huuñ ḳhudī meñ to ḳhudā miltā nahīñ
13
चल बसे वो दिन कि यारों से भरी थी अंजुमन हाए अफ़्सोस आज सूरत-आश्ना मिलता नहीं
chal base vo din ki yāroñ se bharī thī anjuman haa.e afsos aaj sūrat-āshnā miltā nahīñ
14
मंज़िल-ए-इशक़-ओ-तवक्कुल मंज़िल-ए-एज़ाज़ है शाह सब बस्ते हैं याँ कोई गदा मिलता नहीं
manzil-e-ishq-o-tavakkul manzil-e-ezāz hai shaah sab baste haiñ yaañ koī gadā miltā nahīñ
15
बार तकलीफों का मुझ पर बार-ए-एहसाँ से है सहल शुक्र की जा है अगर हाजत-रवा मिलता नहीं
baar taklīfoñ kā mujh par bār-e-ehsāñ se hai sahl shukr kī jā hai agar hājat-ravā miltā nahīñ
16
चाँदनी रातें बहार अपनी दिखाती हैं तो क्या बे तिरे मुझ को तो लुत्फ़ ऐ मह-लक़ा मिलता नहीं
chāñdnī rāteñ bahār apnī dikhātī haiñ to kyā be tire mujh ko to lutf ai mah-laqā miltā nahīñ
17
मा'नी-ए-दिल का करे इज़हार 'अकबर' किस तरह लफ़्ज़ मौज़ूँ बहर-ए-कश्फ़-ए-मुद्दआ मिलता नहीं
ma.anī-e-dil kā kare iz.hār 'akbar' kis tarah lafz mauzūñ bahr-e-kashf-e-mudda.ā miltā nahīñ
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.