Ghazal

फिरी हुई मिरी आँखें हैं तेग़-ज़न की तरफ़

Nazm Tabatabai· Ghazal· 16 shers· radif: की तरफ़

This ghazal portrays the deep sorrow of unrequited devotion, betrayal, and self-sacrifice in love. Even as the lover lies wounded and completely surrendered to the beloved, the beloved remains indifferent and distant, leaving the lover in poignant solitude.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
फिरी हुई मिरी आँखें हैं तेग़-ज़न की तरफ़ चला है छोड़ के बिस्मिल मुझे हिरन की तरफ़
phirī huī mirī āñkheñ haiñ teġh-zan kī taraf chalā hai chhoḌ ke bismil mujhe hiran kī taraf
2
बनाया तोड़ के आईना आईना-ख़ाना न देखी राह जो ख़ल्वत से अंजुमन की तरफ़
banāyā toḌ ke ā.īna ā.īna-ḳhāna na dekhī raah jo ḳhalvat se anjuman kī taraf
3
रह-ए-वफ़ा को न छोड़ा वो अंदलीब हूँ मैं छुटा क़फ़स से तो पर्वाज़ की चमन की तरफ़
rah-e-vafā ko na chhoḌā vo andalīb huuñ maiñ chhuTā qafas se to parvāz kī chaman kī taraf
4
गुरेज़ चाहिए तूल-ए-अमल से सालिक को सुना है राह ये जाती है राहज़न की तरफ़
gurez chāhiye tūl-e-amal se sālik ko sunā hai raah ye jaatī hai rāhzan kī taraf
5
सरा-ए-दहर में सोओगे ग़ाफ़िलो कब तक उठो तो क्या तुम्हें जाना नहीं वतन की तरफ़
sarā-e-dahr meñ so.oge ġhāfilo kab tak uTho to kyā tumheñ jaanā nahīñ vatan kī taraf
6
जो अहल-ए-दिल हैं अलग हैं वो अहल-ए-ज़ाहिर से न मैं हूँ शैख़ की जानिब न बरहमन की तरफ़
jo ahl-e-dil haiñ alag haiñ vo ahl-e-zāhir se na maiñ huuñ shaiḳh kī jānib na barhaman kī taraf
7
जहान-ए-हादसा-आगीन में बशर का वरूद गुज़र हबाब का दरिया-ए-मौजज़न की तरफ़
jahān-e-hādsa-āgīn meñ bashar kā varūd guzar habāb kā dariyā-e-maujzan kī taraf
8
इसी उमीद पे हम दिन ख़िज़ाँ के काटते हैं कभी तो बाद-ए-बहार आएगी चमन की तरफ़
isī umiid pe ham din ḳhizāñ ke kāTte haiñ kabhī to bād-e-bahār aa.egī chaman kī taraf
9
बिछड़ के तुझ से मुझे है उमीद मिलने की सुना है रूह को आना है फिर बदन की तरफ़
bichhaḌ ke tujh se mujhe hai umiid milne kī sunā hai ruuh ko aanā hai phir badan kī taraf
10
गवाह कौन मिरे क़त्ल का हो महशर में अभी से सारा ज़माना है तेग़-ज़न की तरफ़
gavāh kaun mire qatl kā ho mahshar meñ abhī se saarā zamāna hai teġh-zan kī taraf
11
ख़बर दी उठ के क़यामत ने उस के आने की ख़ुदा ही ख़ैर करे रुख़ है अंजुमन की तरफ़
ḳhabar dī uTh ke qayāmat ne us ke aane kī ḳhudā hī ḳhair kare ruḳh hai anjuman kī taraf
12
वो अपने रुख़ की सबाहत को आप देखते हैं झुके हुए गुल-ए-नर्गिस हैं यासमन की तरफ़
vo apne ruḳh kī sabāhat ko aap dekhte haiñ jhuke hue gul-e-nargis haiñ yāsman kī taraf
13
तमाम बज़्म है क्या महव उस की बातों में नज़र दहन की तरफ़ कान है सुख़न की तरफ़
tamām bazm hai kyā mahv us kī bātoñ meñ nazar dahan kī taraf kaan hai suḳhan kī taraf
14
असीर हो गया दिल गेसुओं में ख़ूब हुआ चला था डूब के मरने चह-ए-ज़क़न की तरफ़
asiir ho gayā dil gesuoñ meñ ḳhuub huā chalā thā Duub ke marne chah-e-zaqan kī taraf
15
ये मय-कशों की अदा अब्र-ए-तर भी सीख गए किनार-ए-जू से जो उठ्ठे चले चमन की तरफ़
ye mai-kashoñ kī adā abr-e-tar bhī siikh ga.e kinār-e-jū se jo uTThe chale chaman kī taraf
16
ज़हे-नसीब जो हो कर्बला की मौत ऐ 'नज़्म' कि उड़ के ख़ाक-ए-शिफ़ा आए ख़ुद कफ़न की तरफ़
zahe-nasīb jo ho karbalā kī maut ai 'nazm' ki uḌ ke ḳhāk-e-shifā aa.e ḳhud kafan kī taraf
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

फिरी हुई मिरी आँखें हैं तेग़-ज़न की तरफ़ | Sukhan AI