Ghazal

फ़िक्र-ए-मंज़िल है न होश-ए-जादा-ए-मंज़िल मुझे

Jigar Moradabadi· Ghazal· 16 shers· radif: मुझे

In this ghazal, the poet surrenders entirely to the impulses of the heart, wandering without concern for the path or destination. He embraces sorrow and suffering as divine gifts and seeks the strength to express heartfelt gratitude for the pain bestowed upon him.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
फ़िक्र-ए-मंज़िल है न होश-ए-जादा-ए-मंज़िल मुझे जा रहा हूँ जिस तरफ़ ले जा रहा है दिल मुझे
fikr-e-manzil hai na hosh-e-jāda-e-manzil mujhe jā rahā huuñ jis taraf le jā rahā hai dil mujhe
2
अब ज़बाँ भी दे अदा-ए-शुक्र के क़ाबिल मुझे दर्द बख़्शा है अगर तू ने बजाए-दिल मुझे
ab zabāñ bhī de adā-e-shukr ke qābil mujhe dard baḳhshā hai agar tū ne bajā.e-dil mujhe
3
यूँ तड़प कर दिल ने तड़पाया सर-ए-महफ़िल मुझे उस को क़ातिल कहने वाले कह उठे क़ातिल मुझे
yuuñ taḌap kar dil ne taḌpāyā sar-e-mahfil mujhe us ko qātil kahne vaale kah uThe qātil mujhe
4
अब किधर जाऊँ बता ऐ जज़्बा-ए-कामिल मुझे हर तरफ़ से आज आती है सदा-ए-दिल मुझे
ab kidhar jā.ūñ batā ai jazba-e-kāmil mujhe har taraf se aaj aatī hai sadā-e-dil mujhe
5
रोक सकती हो तो बढ़ कर रोक ले मंज़िल मुझे हर तरफ़ से आज आती है सदा-ए-दिल मुझे
rok saktī ho to baḌh kar rok le manzil mujhe har taraf se aaj aatī hai sadā-e-dil mujhe
6
जान दी कि हश्र तक मैं हूँ मिरी तन्हाइयाँ हाँ मुबारक फ़ुर्सत-ए-नज़्ज़ारा-ए-क़ातिल मुझे
jaan dī ki hashr tak maiñ huuñ mirī tanhā.iyāñ haañ mubārak fursat-e-nazzāra-e-qātil mujhe
7
हर इशारे पर है फिर भी गर्दन-ए-तस्लीम ख़म जानता हूँ साफ़ धोके दे रहा है दिल मुझे
har ishāre par hai phir bhī gardan-e-taslīm ḳham jāntā huuñ saaf dhoke de rahā hai dil mujhe
8
जा भी ऐ नासेह कहाँ का सूद और कैसा ज़ियाँ इश्क़ ने समझा दिया है इश्क़ का हासिल मुझे
jā bhī ai nāseh kahāñ kā suud aur kaisā ziyāñ ishq ne samjhā diyā hai ishq kā hāsil mujhe
9
मैं अज़ल से सुब्ह-ए-महशर तक फ़रोज़ाँ ही रहा हुस्न समझा था चराग़-ए-कुश्ता-ए-महफ़िल मुझे
maiñ azal se sub.h-e-mahshar tak farozāñ hī rahā husn samjhā thā charāġh-e-kushta-e-mahfil mujhe
10
ख़ून-ए-दिल रग रग में जम कर रह गया इस वहम से बढ़ के सीने से न लिपटा ले मिरा क़ातिल मुझे
ḳhūn-e-dil rag rag meñ jam kar rah gayā is vahm se baḌh ke siine se na lipTā le mirā qātil mujhe
11
कैसा क़तरा कैसा दरिया किस का तूफ़ाँ किस की मौज तू जो चाहे तो डुबो दे ख़ुश्की-ए-साहिल मुझे
kaisā qatra kaisā dariyā kis kā tūfāñ kis kī mauj tū jo chāhe to Dubo de ḳhushkī-e-sāhil mujhe
12
फूँक दे ऐ ग़ैरत-ए-सोज़-ए-मोहब्बत फूँक दे अब समझती हैं वो नज़रें रहम के क़ाबिल मुझे
phūñk de ai ġhairat-e-soz-e-mohabbat phūñk de ab samajhtī haiñ vo nazreñ rahm ke qābil mujhe
13
तोड़ कर बैठा हूँ राह-ए-शौक़ में पा-ए-तलब देखना है जज़्बा-ए-बे-ताबी-ए-मंज़िल मुझे
toḌ kar baiThā huuñ rāh-e-shauq meñ pā-e-talab dekhnā hai jazba-e-be-tābī-e-manzil mujhe
14
ऐ हुजूम-ए-ना-उमीदी शाद-बाश-ओ-ज़िंदा-बाश तू ने सब से कर दिया बेगाना-ओ-ग़ाफ़िल मुझे
ai hujūm-e-nā-umīdī shād-bāsh-o-zinda-bāsh tū ne sab se kar diyā begāna-o-ġhāfil mujhe
15
दर्द-ए-महरूमी सही एहसास-ए-नाकामी सही उस ने समझा तो बहर-सूरत किसी क़ाबिल मुझे
dard-e-mahrūmī sahī ehsās-e-nākāmī sahī us ne samjhā to bahar-sūrat kisī qābil mujhe
16
ये भी क्या मंज़र है बढ़ते हैं न रुकते हैं क़दम तक रहा हूँ दूर से मंज़िल को मैं मंज़िल मुझे
ye bhī kyā manzar hai baḌhte haiñ na rukte haiñ qadam tak rahā huuñ duur se manzil ko maiñ manzil mujhe
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.