Ghazal

बे-कैफ़ दिल है और जिए जा रहा हूँ मैं

Jigar Moradabadi· Ghazal· 6 shers· radif: जा रहा हूँ मैं

This ghazal captures profound melancholy and emotional numbness, portraying the quiet endurance of living despite a desolate, joyless heart. Viewing grief as an invaluable treasure, the poet accepts his sorrow as life's constant companion, dispensing it through perpetual sighs.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
बे-कैफ़ दिल है और जिए जा रहा हूँ मैं ख़ाली है शीशा और पिए जा रहा हूँ मैं
be-kaif dil hai aur jiye jā rahā huuñ maiñ ḳhālī hai shīsha aur piye jā rahā huuñ maiñ
2
पैहम जो आह आह किए जा रहा हूँ मैं दौलत है ग़म ज़कात दिए जा रहा हूँ मैं
paiham jo aah aah kiye jā rahā huuñ maiñ daulat hai ġham zakāt diye jā rahā huuñ maiñ
3
मजबूरी-ए-कमाल-ए-मोहब्बत तो देखना जीना नहीं क़ुबूल जिए जा रहा हूँ मैं
majbūri-e-kamāl-e-mohabbat to dekhnā jiinā nahīñ qubūl jiye jā rahā huuñ maiñ
4
वो दिल कहाँ है अब कि जिसे प्यार कीजिए मजबूरियाँ हैं साथ दिए जा रहा हूँ मैं
vo dil kahāñ hai ab ki jise pyaar kījiye majbūriyāñ haiñ saath diye jā rahā huuñ maiñ
5
रुख़्सत हुई शबाब के हमराह ज़िंदगी कहने की बात है कि जिए जा रहा हूँ मैं
ruḳhsat huī shabāb ke hamrāh zindagī kahne kī baat hai ki jiye jā rahā huuñ maiñ
6
पहले शराब ज़ीस्त थी अब ज़ीस्त है शराब कोई पिला रहा है पिए जा रहा हूँ मैं
pahle sharāb ziist thī ab ziist hai sharāb koī pilā rahā hai piye jā rahā huuñ maiñ
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.