Ghazal
हाल-ए-दिल मैं सुना नहीं सकता
This ghazal poignantly reflects on the inexpressibility of deep emotions and the inner state of the heart. It emphasizes that words are inadequate to capture true meaning, and that delicate love transcends the rigid burdens of intellect and reason.
Source: rekhta · HI
Listen
No song yet
1
हाल-ए-दिल मैं सुना नहीं सकता
लफ़्ज़ मा'ना को पा नहीं सकता
hāl-e-dil maiñ sunā nahīñ saktā
lafz ma.anā ko pā nahīñ saktā
2
इश्क़ नाज़ुक-मिज़ाज है बेहद
अक़्ल का बोझ उठा नहीं सकता
ishq nāzuk-mizāj hai behad
aql kā bojh uThā nahīñ saktā
3
होश आरिफ़ की है यही पहचान
कि ख़ुदी में समा नहीं सकता
hosh aarif kī hai yahī pahchān
ki ḳhudī meñ samā nahīñ saktā
4
पोंछ सकता है हम-नशीं आँसू
दाग़-ए-दिल को मिटा नहीं सकता
poñchh saktā hai ham-nashīñ aañsū
dāġh-e-dil ko miTā nahīñ saktā
5
मुझ को हैरत है उस की क़ुदरत पर
अलम उस को घटा नहीं सकता
mujh ko hairat hai us kī qudrat par
alam us ko ghaTā nahīñ saktā
Comments · 0
Free — just your email. You'll come right back here.
No comments yet. Be the first.
