Ghazal

दिल मिरा जिस से बहलता कोई ऐसा न मिला

Akbar Allahabadi· Ghazal· 7 shers· radif: न मिला

This ghazal expresses a profound sense of loneliness and disillusionment with the superficiality of the world. The poet laments the absence of true kindred spirits and genuine seekers of divine love, finding only shallow companions where spiritual devotion and passion should reside.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
दिल मिरा जिस से बहलता कोई ऐसा न मिला बुत के बंदे मिले अल्लाह का बंदा न मिला
dil mirā jis se bahaltā koī aisā na milā but ke bande mile allāh kā bandā na milā
2
बज़्म-ए-याराँ से फिरी बाद-ए-बहारी मायूस एक सर भी उसे आमादा-ए-सौदा न मिला
bazm-e-yārāñ se phirī bād-e-bahārī māyūs ek sar bhī use āmāda-e-saudā na milā
3
गुल के ख़्वाहाँ तो नज़र आए बहुत इत्र-फ़रोश तालिब-ए-ज़मज़मा-ए-बुलबुल-ए-शैदा न मिला
gul ke ḳhvāhāñ to nazar aa.e bahut itr-farosh tālib-e-zamzama-e-bulbul-e-shaidā na milā
4
वाह क्या राह दिखाई है हमें मुर्शिद ने कर दिया काबे को गुम और कलीसा न मिला
vaah kyā raah dikhā.ī hai hameñ murshid ne kar diyā kaabe ko gum aur kalīsā na milā
5
रंग चेहरे का तो कॉलेज ने भी रक्खा क़ाइम रंग-ए-बातिन में मगर बाप से बेटा न मिला
rañg chehre kā to collage ne bhī rakkhā qaa.im rañg-e-bātin meñ magar baap se beTā na milā
6
सय्यद उट्ठे जो गज़ट ले के तो लाखों लाए शैख़ क़ुरआन दिखाते फिरे पैसा न मिला
sayyad uTThe jo gazette le ke to lākhoñ laa.e shaiḳh qur.ān dikhāte phire paisā na milā
7
होशयारों में तो इक इक से सिवा हैं 'अकबर' मुझ को दीवानों में लेकिन कोई तुझ सा न मिला
hoshyāroñ meñ to ik ik se sivā haiñ 'akbar' mujh ko dīvānoñ meñ lekin koī tujh sā na milā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.