Ghazal

मत ग़ुस्से के शो'ले सूँ जलते कूँ जलाती जा

Wali Dakhani· Ghazal· 8 shers· radif: जा

This ghazal embodies playful longing and tender entreaty, where the lover urges his proud and coquettish beloved to quell her wrath with the soothing waters of affection. It captures the charm of romantic banter and the deep desire for the beloved's grace and reciprocated love.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
मत ग़ुस्से के शो'ले सूँ जलते कूँ जलाती जा टुक मेहर के पानी सूँ तू आग बुझाती जा
mat ġhusse ke sho.ale suuñ jalte kuuñ jalātī jā Tuk mehr ke paanī suuñ tū aag bujhātī jā
2
तुझ चाल की क़ीमत सूँ दिल नीं है मिरा वाक़िफ़ ऐ मान भरी चंचल टुक भाव बताती जा
tujh chaal kī qīmat suuñ dil niiñ hai mirā vāqif ai maan bharī chanchal Tuk bhaav batātī jā
3
इस रात अँधारी में मत भूल पड़ूँ तुझ सूँ टुक पाँव के झाँझर की झंकार सुनाती जा
is raat añdhārī meñ mat bhuul paḌūñ tujh suuñ Tuk paañv ke jhāñjhar kī jhankār sunātī jā
4
मुझ दिल के कबूतर कूँ बाँधा है तिरी लट ने ये काम धरम का है टुक उस को छुड़ाती जा
mujh dil ke kabūtar kuuñ bāñdhā hai tirī laT ne ye kaam dharam kā hai Tuk us ko chhuḌātī jā
5
तुझ मुख की परस्तिश में गई उम्र मिरी सारी ऐ बुत की पुजनहारी टुक उस को पुजाती जा
tujh mukh kī parastish meñ ga.ī umr mirī saarī ai but kī pujan-hārī Tuk us ko pujātī jā
6
तुझ इश्क़ में जल जल कर सब तन कूँ किया काजल ये रौशनी अफ़ज़ा है अँखिया को लगाती जा
tujh ishq meñ jal jal kar sab tan kuuñ kiyā kājal ye raushnī afzā hai añkhiyā ko lagātī jā
7
तुझ नेह में दिल जल जल जोगी की लिया सूरत यक बार उसे मोहन छाती सूँ लगाती जा
tujh neh meñ dil jal jal jogī kī liyā sūrat yak baar use mohan chhātī suuñ lagātī jā
8
तुझ घर की तरफ़ सुंदर आता है 'वली' दाएम मुश्ताक़ दरस का है टुक दर्स दिखाती जा
tujh ghar kī taraf sundar aatā hai 'valī' daa.em mushtāq daras kā hai Tuk dars dikhātī jā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

मत ग़ुस्से के शो'ले सूँ जलते कूँ जलाती जा | Sukhan AI