Ghazal
kisi ka jaur-e-nihani ayaan nahin hota
This ghazal poignantly reflects on the unexpressed agony of love and the hidden cruelty of the beloved. The poet laments enduring countless unseen wounds, suffering intense emotional pain in silent isolation without any discerning confidant.
Source: Kashkol-e-Majzoob · UR
Listen
No song yet
1
کسی کا جو رنہانی عیاں نہیں ہوتا
ہزار کھاتا ہوں چوٹیں نشاں نہیں ہوتا
kisi ka jaur-e-nihani ayaan nahin hota
hazaar khata hoon chotein nishaan nahin hota
2
ادا شناس ترا بے زباں نہیں ہوتا
کہے وہ کس سے کوئی نکتہ داں نہیں ہوتا
ada-shinaas tera be-zabaan nahin hota
kahe woh kis se koi nukta-daan nahin hota
3
غضب ہے اُف ہمہ گیری دردِ دل ہمدم
بدن میں سُر میں جگر میں، کہاں نہیں ہوتا
ghazab hai uf hama-giri-e-dard-e-dil hamdam
badan mein sar mein jigar mein, kahan nahin hota
4
جنونِ عشق یہ اللہ رے تیری یک رنگی
کچھ امتیاز بہار و خزاں نہیں ہوتا
junoon-e-ishq yeh allah re teri yak-rangi
kuchh imtiyaaz-e-bahaar-o-khizaan nahin hota
5
سب ایک رنگ میں ہیں میکدے کے خورد و کلاں
یہاں تفاوتِ پیر و جواں نہیں ہوتا
sab ek rang mein hain maikade ke khurd-o-kalaan
yahan tafawut-e-peer-o-jawaan nahin hota
6
ہمیشہ رہتا ہے اک عالمِ فنا طاری
میں زندہ ہوں مگر احساسِ جاں نہیں ہوتا
hamesha rehta hai ik aalam-e-fanaa taari
main zinda hoon magar ehsaas-e-jaan nahin hota
7
قمارِ عشق میں سب کچھ گنوا دیا میں نے
اُمیدِ نفع میں خوفِ زیاں نہیں ہوتا
qumaar-e-ishq mein sab kuchh ganwa diya main ne
umeed-e-nafa mein khauf-e-ziyaan nahin hota
8
سہم رہا ہوں میں اے اہلِ قبر بتلا دو
زمیں تلے تو کوئی آسماں نہیں ہوتا
saham raha hoon main ai ahl-e-qabr batla do
zameen tale toh koi aasmaan nahin hota
9
یہاں ہے سبحہ کے دانوں میں رشتہ زنار
یہ کفر شیخ کسی پر عیاں نہیں ہوتا
yahan hai subha ke daanon mein rishta-e-zunnaar
yeh kufr shaikh kisi par ayaan nahin hota
10
جو آپ چاہیں کہ لے لیں کسی کا مُفت میں دل
تو یہ معاملہ یوں مہرباں نہیں ہوتا
jo aap chahein keh le lein kisi ka muft mein dil
toh yeh maamla yoon meherbaan nahin hota
11
وہ سب کے سامنے اس سادگی سے بیٹھے ہیں
کہ دل چرانے کا ان پر گماں نہیں ہوتا
woh sab ke saamne is saadgi se baithe hain
keh dil churaane ka un par gumaan nahin hota
12
وہ محتسب ہو کہ واعظ وہ فلسفی ہو کہ شیخ
کسی سے بند ترا راز داں نہیں ہوتا
woh muhtasib ho keh waiz woh falsafi ho keh shaikh
kisi se band tera raaz-daan nahin hota
13
جہاں فریب ہے مجذوبؔ ہے یہ تری صورت
بُتوں کے عشق کا تجھ پر گماں نہیں ہوتا
jahaan-fareb hai majzoob hai yeh teri soorat
buton ke ishq ka tujh par gumaan nahin hota
Comments · 0
Free — just your email. You'll come right back here.
No comments yet. Be the first.
