Ghazal

tumhaare daure mein hum ne saaqi ajab hi daur-e-sharaab dekha

Shah Niyaz Ahmad Barelvi· Ghazal· 6 shers

This ghazal employs the imagery of the Saqi and wine to celebrate the intoxicating, transformative power of divine love. Through gentle irony toward orthodox ascetics who succumb to this ecstasy, and metaphors of the transient bubble and the drop merging into the ocean, it reflects on the profound mysteries of existence.

Source: Divan-e-Niyaz (Lucknow, 1960 reprint) · UR

Listen
No song yet
Reading Script
1
تمھارے دَورے میں ہم نے ساقی عجب ہی دورِ شراب دیکھا اِدھر تو واعظ گرا پڑا ہے، اُدھر کو زاہد خراب دیکھا
tumhaare daure mein hum ne saaqi ajab hi daur-e-sharaab dekha idhar to vaaiz gira pada hai, udhar ko zaahid kharaab dekha
2
جو ایک تھپکی میں جز سے کل ہو، اور ایک قطرے سے ہوئے دریا تمام عالم میں تُو نے ہمدم، کوئی بھی مثلِ حباب دیکھا ؟
jo ek thapki mein juz se kul ho, aur ek qatre se hue dariya tamaam aalam mein tu ne humdam, koi bhi misl-e-hubaab dekha ?
3
وہ مست مئے خوار ادھر کو آیا، مگر یہ لالچ ہے اُس کو لایا کہ میرے خوں کو شرابِ گلگوں، دل و جگر کو کباب دیکھا
wo mast may-khwaar idhar ko aaya, magar ye laalach hai us ko laaya ki mere khoon ko sharaab-e-gulgoon, dil o jigar ko kabaab dekha
4
چمن میں نرگس کہیں ہے بیمار اُس کی آنکھوں کو دیکھ کر کے کہیں ہے زُلفوں کے غم میں سنبل نے ہائے کیا پیچ و تاب دیکھا
chaman mein nargis kahin hai beemaar us ki aankhon ko dekh kar ke kahin hai zulfon ke gham mein sumbul ne haaye kya pech o taab dekha
5
تمھارے مکھڑے کو نیچے زلفوں کے دیکھ کر کیا مثال کہئے برائے گفتن مگر یہ کہئے کہ مہر زیرِ سحاب دیکھا
tumhaare mukhde ko neeche zulfon ke dekh kar kya misaal kahiye baraaye guftan magar ye kahiye ki mehar zer-e-sahaab dekha
6
نہیں ہے دھوکا کچھ اس میں اے دل! کہ ہے یہ دھوکا طلسمِ عالم جو کچھ سُنا تھا سو ہے فسانہ، جو کچھ کہ دیکھا، سو خواب دیکھا
nahin hai dhoka kuchh is mein ae dil! ki hai ye dhoka tilism-e-aalam jo kuchh suna tha so hai fasaana, jo kuchh ki dekha, so khwaab dekha
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

tumhaare daure mein hum ne saaqi ajab hi daur-e-sharaab dekha | Sukhan AI