Ghazal

ये हुआ मआल हुबाब का जो हवा में भर के उभर गया

Nazm Tabatabai· Ghazal· 14 shers· radif: गया

This ghazal meditates on the transient nature of life and the perils of pride through the poignant metaphor of a fragile bubble shattered by the waves. It captures human vulnerability in the face of destiny while celebrating the profound power of love and passion that keeps the weary wanderer moving forward.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
ये हुआ मआल हुबाब का जो हवा में भर के उभर गया कि सदा है लुतमा-ए-मौज की सर-ए-पुर-ग़ुरूर किधर गया
ye huā ma.aal hubāb kā jo havā meñ bhar ke ubhar gayā ki sadā hai lutma-e-mauj kī sar-e-pur-ġhurūr kidhar gayā
2
मुझे जज़्ब-ए-दिल ने ऐ जुज़ बहक के रखा क़दम कोई मुझे पर लगाए शौक़ ने कहीं थक के मैं जो ठहर गया
mujhe jazb-e-dil ne ai juz bahak ke rakhā qadam koī mujhe par lagā.e shauq ne kahīñ thak ke maiñ jo Thahar gayā
3
मुझे पीरी और शबाब में जो है इम्तियाज़ तो इस क़दर कोई झोंका बाद-ए-सहर का था मिरे पास से जो गुज़र गया
mujhe piirī aur shabāb meñ jo hai imtiyāz to is qadar koī jhoñkā bād-e-sahar kā thā mire paas se jo guzar gayā
4
असर उस के इश्वा-ए-नाज़ का जो हुआ वो किस से बयाँ करूँ मुझे तो अजल की है आरज़ू उसे वहम है कि ये मर गया
asar us ke ishva-e-nāz kā jo huā vo kis se bayāñ karūñ mujhe to ajal kī hai aarzū use vahm hai ki ye mar gayā
5
तुझे ऐ ख़तीब-ए-चमन नहीं ख़बर अपने ख़ुत्बा-ए-शौक़ में कि किताब-ए-गुल का वरक़ वरक़ तिरी बे-ख़ुदी से बिखर गया
tujhe ai ḳhatīb-e-chaman nahīñ ḳhabar apne ḳhutba-e-shauq meñ ki kitāb-e-gul kā varaq varaq tirī be-ḳhudī se bikhar gayā
6
किसे तू सुनाता है हम-नशीं कि है इश्वा-ए-दुश्मन-ए-अक़्ल-ओ-दीं तिरे कहने का है मुझे यक़ीं मैं तिरे डराने से डर गया
kise tū sunātā hai ham-nashīñ ki hai ishva-e-dushman-e-aql-o-dīñ tire kahne kā hai mujhe yaqīñ maiñ tire Darāne se Dar gayā
7
करूँ ज़िक्र क्या मैं शबाब का सुने कौन क़िस्सा ये ख़्वाब का ये वो रात थी कि गुज़र गई ये वो नश्शा था कि उतर गया
karūñ zikr kyā maiñ shabāb kā sune kaun qissa ye ḳhvāb kā ye vo raat thī ki guzar ga.ī ye vo nashsha thā ki utar gayā
8
दिल-ए-ना-तवाँ को तकान हो मुझे उस की ताब न थी ज़रा ग़म-ए-इंतिज़ार से बच गया था नवेद-ए-वस्ल से मर गया
dil-e-nā-tavāñ ko takān ho mujhe us kī taab na thī zarā ġham-e-intizār se bach gayā thā naved-e-vasl se mar gayā
9
मिरे सब्र-ओ-ताब के सामने न हुजूम-ए-ख़ौफ़-ओ-रजा रहा वो चमक के बर्क़ रह गई वो गरज के अब्र गुज़र गया
mire sabr-o-tāb ke sāmne na hujūm-e-ḳhauf-o-rajā rahā vo chamak ke barq rah ga.ī vo garaj ke abr guzar gayā
10
मुझे बहर-ए-ग़म से उबूर की नहीं फ़िक्र ऐ मिरे चारा-गर नहीं कोई चारा-कार अब मिरे सर से आब गुज़र गया
mujhe bahr-e-ġham se ubuur kī nahīñ fikr ai mire chāra-gar nahīñ koī chāra-kār ab mire sar se aab guzar gayā
11
मुझे राज़-ए-इश्क़ के ज़ब्त में जो मज़ा मिला है न पूछिए मय-ए-अँगबीं का ये घूँट था कि गले से मेरे उतर गया
mujhe rāz-e-ishq ke zabt meñ jo maza milā hai na pūchhiye mai-e-añgbīñ kā ye ghūñT thā ki gale se mere utar gayā
12
नहीं अब जहान में दोस्ती कभी रास्ते में जो मिल गए नहीं मतलब एक को एक से ये इधर चला वो उधर गया
nahīñ ab jahān meñ dostī kabhī rāste meñ jo mil ga.e nahīñ matlab ek ko ek se ye idhar chalā vo udhar gayā
13
अगर आ के ग़ुस्सा नहीं रहा तो लगी थी आग कि बुझ गई जो हसद का जोश फ़रो हुआ तो ये ज़हर चढ़ के उतर गया
agar aa ke ġhussa nahīñ rahā to lagī thī aag ki bujh ga.ī jo hasad kā josh faro huā to ye zahr chaḌh ke utar gayā
14
तुझे 'नज़्म' वादी-ए-शौक़ में अबस एहतियात है इस क़दर कहीं गिरते गिरते सँभल गया कहीं चलते चलते ठहर गया
tujhe 'nazm' vādi-e-shauq meñ abas ehtiyāt hai is qadar kahīñ girte girte sambhal gayā kahīñ chalte chalte Thahar gayā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

ये हुआ मआल हुबाब का जो हवा में भर के उभर गया | Sukhan AI