Ghazal

उड़ा कर काग शीशे से मय-ए-गुल-गूँ निकलती है

Nazm Tabatabai· Ghazal· 12 shers· radif: है

This ghazal paints a lively and joyful picture of the tavern celebrating the arrival of spring. Through vivid imagery of flowing wine and cheerful revelry, it captures the carefree intoxication and vibrant spirit of the season.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
उड़ा कर काग शीशे से मय-ए-गुल-गूँ निकलती है शराबी जम्अ हैं मय-ख़ाना में टोपी उछलती है
uḌā kar kaag shīshe se mai-e-gul-gūñ nikaltī hai sharābī jam.a haiñ mai-ḳhāna meñ Topī uchhaltī hai
2
बहार-ए-मय-कशी आई चमन की रुत बदलती है घटा मस्ताना उठती है हवा मस्ताना चलती है
bahār-e-mai-kashī aa.ī chaman kī rut badaltī hai ghaTā mastāna uThtī hai havā mastāna chaltī hai
3
ज़-ख़ुद-रफ़्ता तबीअत कब सँभाले से सँभलती है न बन आती है नासेह से न कुछ वाइज़ की चलती है
za-ḳhud-rafta tabī.at kab sambhāle se sambhaltī hai na ban aatī hai nāseh se na kuchh vaa.iz kī chaltī hai
4
ये किस की है तमन्ना चुटकियाँ लेती है जो दिल में ये किस की आरज़ू है जो कलेजे को मसलती है
ye kis kī hai tamannā chuTkiyāñ letī hai jo dil meñ ye kis kī aarzū hai jo kaleje ko masaltī hai
5
वो दीवाना है जो इस फ़स्ल में फ़स्दें न खुलवाए रग-ए-हर-शाख़-ए-गुल से ख़ून की नद्दी उबलती है
vo dīvāna hai jo is fasl meñ fasdeñ na khulvā.e rag-e-har-shāḳh-e-gul se ḳhuun kī naddī ubaltī hai
6
सहर होते ही दम निकला ग़श आते ही अजल आई कहाँ हूँ मैं नसीम-ए-सुब्ह पंखा किस को झलती है
sahar hote hī dam niklā ġhash aate hī ajal aa.ī kahāñ huuñ maiñ nasīm-e-sub.h pañkhā kis ko jhaltī hai
7
तमत्तो एक का है एक के नुक़साँ से आलम में कि साया फैलता जाता है जूँ जूँ धूप ढलती है
tamatto ek kā hai ek ke nuqsāñ se aalam meñ ki saaya phailtā jaatā hai juuñ juuñ dhuup Dhaltī hai
8
बिना रक्खी है ग़म पर ज़ीस्त की ये हो गया साबित न लपका आह का छूटेगा जब तक साँस चलती है
binā rakkhī hai ġham par ziist kī ye ho gayā sābit na lapkā aah kā chhūTegā jab tak saañs chaltī hai
9
क़रार इक दम नहीं आता है ख़ून-ए-बे-गुनह पी कर कि अब तो ख़ुद ब-ख़ुद तलवार रह रह कर उगलती है
qarār ik dam nahīñ aatā hai ḳhūn-e-be-gunah pī kar ki ab to ḳhud ba-ḳhud talvār rah rah kar ugaltī hai
10
जहन्नम की न आँच आएगी मय-ख़्वारों पे ओ वाइज़ शराब आलूदा हो जो शय वो कब आतिश में जलती है
jahannam kī na aañch aa.egī mai-ḳhvāroñ pe o vaa.iz sharāb ālūda ho jo shai vo kab ātish meñ jaltī hai
11
न दिखलाना इलाही एक आफ़त है शब-ए-फ़ुर्क़त न जो काटे से कटती है न जो टाले से टलती है
na dikhlānā ilāhī ek aafat hai shab-e-furqat na jo kaaTe se kaTtī hai na jo Taale se Taltī hai
12
ये अच्छा शुग़्ल वहशत में निकाला तू ने ऐ 'हैदर' गरेबाँ में उलझने से तबीअत तो बहलती है
ye achchhā shuġhl vahshat meñ nikālā tū ne ai 'haidar' garebāñ meñ ulajhne se tabī.at to bahaltī hai
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

उड़ा कर काग शीशे से मय-ए-गुल-गूँ निकलती है | Sukhan AI