Ghazal

संग-ए-जफ़ा का ग़म नहीं दस्त-ए-तलब का डर नहीं

Nazm Tabatabai· Ghazal· 15 shers· radif: नहीं

This ghazal reflects themes of self-reliance, spiritual detachment, and societal disillusionment. The poet expresses indifference toward oppression and worldly desires while poignantly observing a directionless caravan that has lost its true path.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
संग-ए-जफ़ा का ग़म नहीं दस्त-ए-तलब का डर नहीं अपना है उस पर आशियाँ नख़्ल जो बारवर नहीं
sañg-e-jafā kā ġham nahīñ dast-e-talab kā Dar nahīñ apnā hai us par āshiyāñ naḳhl jo bārvar nahīñ
2
सुनते हो अहल-ए-क़ाफ़िला मैं कोई राहबर नहीं देख रहा हूँ तुम में से एक भी राह पर नहीं
sunte ho ahl-e-qāfila maiñ koī rāhbar nahīñ dekh rahā huuñ tum meñ se ek bhī raah par nahīñ
3
मौत का घर है आसमाँ इस से कहीं मफ़र नहीं निकलें तो कोई दर नहीं भागें तो रहगुज़र नहीं
maut kā ghar hai āsmāñ is se kahīñ mafar nahīñ nikleñ to koī dar nahīñ bhāgeñ to rahguzar nahīñ
4
पहले जिगर पर आह का नाम न था निशाँ न था आख़िर-ए-कार ये हुआ आह तो है जिगर नहीं
pahle jigar par aah kā naam na thā nishāñ na thā āḳhir-e-kār ye huā aah to hai jigar nahīñ
5
सुब्ह-ए-अज़ल से ता-अबद क़िस्सा न होगा ये तमाम जौर-ए-फ़लक की दास्ताँ ऐसी भी मुख़्तसर नहीं
sub.h-e-azal se tā-abad qissa na hogā ye tamām jaur-e-falak kī dāstāñ aisī bhī muḳhtasar nahīñ
6
बर्ग-ए-ख़िज़ाँ-रसीदा हूँ छेड़ न मुझ को ऐ नसीम ज़ौक़ फ़ुग़ाँ का है मुझे शिक्वा-ए-अब्र-ए-तर नहीं
barg-e-ḳhizāñ-rasīda huuñ chheḌ na mujh ko ai nasīm zauq fuġhāñ kā hai mujhe shikva-e-abr-e-tar nahīñ
7
मुंकिर-ए-हश्र है किधर देखे तू आँख खोल कर हश्र की जो ख़बर न दे ऐसी कोई सहर नहीं
munkir-e-hashr hai kidhar dekhe tū aañkh khol kar hashr kī jo ḳhabar na de aisī koī sahar nahīñ
8
शबनम ओ गुल को देख कर वज्द न आए किस तरह ख़ंदा बे-सबब नहीं गिर्या बे-असर नहीं
shabnam o gul ko dekh kar vajd na aa.e kis tarah ḳhanda be-sabab nahīñ girya be-asar nahīñ
9
तेरे फ़क़ीर का ग़ुरूर ताजवरों से है सिवा तर्फ़-ए-कुलह में दे शिकन उस को ये दर्द-ए-सर नहीं
tere faqīr kā ġhurūr tājvaroñ se hai sivā tarf-e-kulah meñ de shikan us ko ye dard-e-sar nahīñ
10
कोशक ओ क़स्र ओ बाम-ओ-दर तू ने बिना किए तो क्या हैफ़ है ख़ानुमाँ-ख़राब दिल में किसी के घेर नहीं
koshak o qasr o bām-o-dar tū ne binā kiye to kyā haif hai ḳhānumāñ-ḳharāb dil meñ kisī ke gher nahīñ
11
नाला-कशी रक़ीब से मेरी तरह मुहाल है दिल नहीं हौसला नहीं ज़ोहरा नहीं जिगर नहीं
nāla-kashī raqīb se merī tarah muhāl hai dil nahīñ hausla nahīñ zohra nahīñ jigar nahīñ
12
शातिर-ए-पीर-ए-आसमाँ वाह-री तेरी दस्तबुर्द ख़ुसरव ओ कैक़िबाद की तेग़ नहीं कमर नहीं
shātir-e-pīr-e-āsmāñ vāh-rī terī dastburd ḳhusrav o kaiqibād kī teġh nahīñ kamar nahīñ
13
शान करीम की ये है हाँ से हो पेशतर अता लुत्फ़ अता का क्या हो जब हाँ से हो पेशतर नहीं
shaan karīm kī ye hai haañ se ho peshtar atā lutf atā kā kyā ho jab haañ se ho peshtar nahīñ
14
लाख वो बे-रुख़ी करे लाख वो कज-रवी करे कुछ तो मलाल इस का हो दिल को मिरे मगर नहीं
laakh vo be-ruḳhī kare laakh vo kaj-ravī kare kuchh to malāl is kā ho dil ko mire magar nahīñ
15
सुन के बुरा न मानिए सच को न झूट जानिए ज़िक्र है कुछ गिला नहीं बात है नेश्तर नहीं
sun ke burā na māniye sach ko na jhuuT jāniye zikr hai kuchh gila nahīñ baat hai neshtar nahīñ
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

संग-ए-जफ़ा का ग़म नहीं दस्त-ए-तलब का डर नहीं | Sukhan AI