Ghazal

किसी से बस कि उमीद-ए-कुशूद-ए-कार नहीं

Nazm Tabatabai· Ghazal· 6 shers· radif: नहीं

This ghazal encapsulates profound despair, disillusionment, and tragic irony. Having lost all hope of resolution or relief—even questioning the certainty of death—the poet laments the torment of waiting, where the beloved's response arrives only after life has already slipped away.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
किसी से बस कि उमीद-ए-कुशूद-ए-कार नहीं मुझे अजल के भी आने का ए'तिबार नहीं
kisī se bas ki umīd-e-kushūd-e-kār nahīñ mujhe ajal ke bhī aane kā e'tibār nahīñ
2
जवाब नामे का क़ासिद मज़ार पर लाया कि जानता था उसे ताब-ए-इंतिज़ार नहीं
javāb naame kā qāsid mazār par laayā ki jāntā thā use tāb-e-intizār nahīñ
3
ये कह के उठ गई बालीं से मेरी शम-ए-सहर तमाम हो गई शब और तुझे क़रार नहीं
ye kah ke uTh ga.ī bālīñ se merī sham-e-sahar tamām ho ga.ī shab aur tujhe qarār nahīñ
4
जो तू हो पास तो हूर-ओ-क़ुसूर सब कुछ हो जो तू नहीं तो नहीं बल्कि ज़ीनहार नहीं
jo tū ho paas to hūr-o-qusūr sab kuchh ho jo tū nahīñ to nahīñ balki zīnhār nahīñ
5
ख़िज़ाँ के आने से पहले ही था मुझे मा'लूम कि रंग-ओ-बू-ए-चमन का कुछ ए'तिबार नहीं
ḳhizāñ ke aane se pahle hī thā mujhe ma.alūm ki rañg-o-bū-e-chaman kā kuchh e'tibār nahīñ
6
ग़ज़ल कही है कि मोती पिरोए हैं ऐ 'नज़्म' वो कौन शे'र है जो दुर्र-ए-शाहवार नहीं
ġhazal kahī hai ki motī piro.e haiñ ai 'nazm' vo kaun sher hai jo durr-e-shāhvār nahīñ
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

किसी से बस कि उमीद-ए-कुशूद-ए-कार नहीं | Sukhan AI