Ghazal

कोई ये कह दे गुलशन गुलशन

Jigar Moradabadi· Ghazal· 20 shers

This ghazal poignantly reflects on the fragility of existence and the relentless trials confronting a vulnerable soul. It explores the themes of deceit by both guides and plunderers, ultimately recognizing the human heart as both one's truest friend and greatest adversary.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
कोई ये कह दे गुलशन गुलशन लाख बलाएँ एक नशेमन
koī ye kah de gulshan gulshan laakh balā.eñ ek nasheman
2
क़ातिल रहबर क़ातिल रहज़न दिल सा दोस्त न दिल सा दुश्मन
qātil rahbar qātil rahzan dil sā dost na dil sā dushman
3
फूल खिले हैं गुलशन गुलशन लेकिन अपना अपना दामन
phuul khile haiñ gulshan gulshan lekin apnā apnā dāman
4
इश्क़ है प्यारे खेल नहीं है इश्क़ है कार-ए-शीशा-ओ-आहन
ishq hai pyāre khel nahīñ hai ishq hai kāre-shīsha-o-āhan
5
ख़ैर मिज़ाज-ए-हुस्न की या-रब तेज़ बहुत है दिल की धड़कन
ḳhair mizāj-e-husn kī yā-rab tez bahut hai dil kī dhaḌkan
6
आ कि न जाने तुझ बिन कब से रूह है लाशा जिस्म है मदफ़न
aa ki na jaane tujh bin kab se ruuh hai lāsha jism hai madfan
7
आज न जाने राज़ ये क्या है हिज्र की रात और इतनी रौशन
aaj na jaane raaz ye kyā hai hijr kī raat aur itnī raushan
8
उम्रें बीतीं सदियाँ गुज़रीं है वही अब तक इश्क़ का बचपन
umreñ bītīñ sadiyāñ guzrīñ hai vahī ab tak ishq kā bachpan
9
तुझ सा हसीं और ख़ून-ए-मोहब्बत वहम है शायद सुर्ख़ी-ए-दामन
tujh sā hasīñ aur ḳhūn-e-mohabbat vahm hai shāyad surḳhi-e-dāman
10
बर्क़-ए-हवादिस अल्लाह अल्लाह झूम रही है शाख़-ए-नशेमन
barq-e-havādis allāh allāh jhuum rahī hai shāḳh-e-nasheman
11
तू ने सुलझ कर गेसू-ए-जानाँ और बढ़ा दी शौक़ की उलझन
tū ne sulajh kar gesū-e-jānāñ aur baḌhā dī shauq kī uljhan
12
रहमत होगी तालिब-ए-इस्याँ रश्क करेगी पाकीए-दामन
rahmat hogī tālib-e-isyāñ rashk karegī pākī-e-dāman
13
दिल कि मुजस्सम आईना-सामाँ और वो ज़ालिम आईना-दुश्मन
dil ki mujassam ā.īna-sāmāñ aur vo zālim ā.īna-dushman
14
बैठे हम हर बज़्म में लेकिन झाड़ के उट्ठे अपना दामन
baiThe ham har bazm meñ lekin jhaaḌ ke uTThe apnā dāman
15
हस्ती-ए-शाएर अल्लाह अल्लाह हुस्न की मंज़िल इश्क़ का मस्कन
hastī-e-shā.er allāh allāh husn kī manzil ishq kā maskan
16
रंगीं फ़ितरत सादा तबीअत फ़र्श-नशीं और अर्श-नशेमन
rañgīñ fitrat saada tabī.at farsh-nashīñ aur arsh-nasheman
17
काम अधूरा और आज़ादी नाम बड़े और थोड़े दर्शन
kaam adhūrā aur āzādī naam baḌe aur thoḌe darshan
18
शम्अ है लेकिन धुंदली धुंदली साया है लेकिन रौशन रौशन
sham.a hai lekin dhuñdlī dhu.dlī saayā hai lekin raushan raushan
19
काँटों का भी हक़ है कुछ आख़िर कौन छुड़ाए अपना दामन
kāñToñ kā bhī haq hai kuchh āḳhir kaun chhuḌā.e apnā dāman
20
चलती फिरती छाँव है प्यारे किस का सहरा कैसा गुलशन
chaltī phirtī chhāñv hai pyāre kis kā sahrā kaisā gulshan
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.