Ghazal

कसरत में भी वहदत का तमाशा नज़र आया

Jigar Moradabadi· Ghazal· 9 shers· radif: नज़र आया

This mystical ghazal reflects the Sufi concept of unity within multiplicity, witnessing the singular Divine manifest across the diverse forms of creation. Upon experiencing this radiant revelation, conventional religious distinctions between the Kaaba and the church dissolve into pure spiritual devotion.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
कसरत में भी वहदत का तमाशा नज़र आया जिस रंग में देखा तुझे यकता नज़र आया
kasrat meñ bhī vahdat kā tamāshā nazar aayā jis rañg meñ dekhā tujhe yaktā nazar aayā
2
जब उस रुख़-ए-पुर-नूर का जल्वा नज़र आया काबा नज़र आया न कलीसा नज़र आया
jab us ruḳh-e-pur-nūr kā jalva nazar aayā ka.aba nazar aayā na kalīsā nazar aayā
3
ये हुस्न ये शोख़ी ये करिश्मा ये अदाएँ दुनिया नज़र आई मुझे तो क्या नज़र आया
ye husn ye shoḳhī ye karishma ye adā.eñ duniyā nazar aa.ī mujhe to kyā nazar aayā
4
इक सरख़ुशी-ए-इश्क़ है इक बे-ख़ुदी-ए-शौक़ आँखों को ख़ुदा जाने मिरी क्या नज़र आया
ik sarḳhushi-e-ishq hai ik be-ḳhudī-e-shauq āñkhoñ ko ḳhudā jaane mirī kyā nazar aayā
5
जब देख न सकते थे तो दरिया भी था क़तरा जब आँख खुली क़तरा भी दरिया नज़र आया
jab dekh na sakte the to dariyā bhī thā qatra jab aañkh khulī qatra bhī dariyā nazar aayā
6
क़ुर्बान तिरी शान-ए-इनायत के दिल ओ जाँ इस कम-निगही पर मुझे क्या क्या नज़र आया
qurbān tirī shān-e-ināyat ke dil o jaañ is kam-nigahī par mujhe kyā kyā nazar aayā
7
हर रंग तिरे रंग में डूबा हुआ निकला हर नक़्श तिरा नक़्श-ए-कफ़-ए-पा नज़र आया
har rañg tire rañg meñ Duubā huā niklā har naqsh tirā naqsh-e-kaf-e-pā nazar aayā
8
आँखों ने दिखा दी जो तिरे ग़म की हक़ीक़त आलम मुझे सारा तह-ओ-बाला नज़र आया
āñkhoñ ne dikhā dī jo tire ġham kī haqīqat aalam mujhe saarā tah-o-bālā nazar aayā
9
हर जल्वे को देखा तिरे जल्वों से मुनव्वर हर बज़्म में तू अंजुमन-आरा नज़र आया
har jalve ko dekhā tire jalvoñ se munavvar har bazm meñ tū anjuman-ārā nazar aayā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.