Ghazal

कभी शाख़ ओ सब्ज़ा ओ बर्ग पर कभी ग़ुंचा ओ गुल ओ ख़ार पर

Jigar Moradabadi· Ghazal· 9 shers· radif: पर

This ghazal embodies fierce self-respect, resilience, and an unwavering claim to dignity amid adversity. The poet boldly asserts that despite life's trials and the threats of lightning destroying his humble nest, his rightful place in the joy of spring remains undeniable.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
कभी शाख़ ओ सब्ज़ा ओ बर्ग पर कभी ग़ुंचा ओ गुल ओ ख़ार पर मैं चमन में चाहे जहाँ रहूँ मिरा हक़ है फ़स्ल-ए-बहार पर
kabhī shāḳh o sabza o barg par kabhī ġhuncha o gul o ḳhaar par maiñ chaman meñ chāhe jahāñ rahūñ mirā haq hai fasl-e-bahār par
2
मुझे दें न ग़ैज़ में धमकियाँ गिरें लाख बार ये बिजलियाँ मिरी सल्तनत ये ही आशियाँ मिरी मिलकियत ये ही चार पर
mujhe deñ na ġhaiz meñ dhamkiyāñ gireñ laakh baar ye bijliyāñ mirī saltanat ye hī āshiyāñ mirī milkiyat ye hī chaar par
3
जिन्हें कहिए इश्क़ की वुसअ'तें जो हैं ख़ास हुस्न की अज़्मतें ये उसी के क़ल्ब से पूछिए जिसे फ़ख़्र हो ग़म-ए-यार पर
jinheñ kahiye ishq kī vus.ateñ jo haiñ ḳhaas husn kī azmateñ ye usī ke qalb se pūchhiye jise faḳhr ho ġham-e-yār par
4
मिरे अश्क-ए-ख़ूँ की बहार है कि मुरक़्क़ा-ए-ग़म-ए-यार है मिरी शाइ'री भी निसार है मिरी चश्म-ए-सेहर-निगार पर
mire ashk-e-ḳhūñ kī bahār hai ki muraqqa-e-ġham-e-yār hai mirī shā.irī bhī nisār hai mirī chashm-e-sehr-nigār par
5
अजब इंक़िलाब-ए-ज़माना है मिरा मुख़्तसर सा फ़साना है यही अब जो बार है दोश पर यही सर था ज़ानू-ए-यार पर
ajab inqilāb-e-zamāna hai mirā muḳhtasar sā fasāna hai yahī ab jo baar hai dosh par yahī sar thā zānu-e-yār par
6
ये कमाल-ए-इश्क़ की साज़िशें ये जमाल-ए-हुस्न की नाज़िशें ये इनायतें ये नवाज़िशें मिरी एक मुश्त-ए-ग़ुबार पर
ye kamāl-e-ishq kī sāzisheñ ye jamāl-e-husn kī nāzisheñ ye ināyateñ ye navāzisheñ mirī ek musht-e-ġhubār par
7
मिरी सम्त से उसे ऐ सबा ये पयाम-ए-आख़िर-ए-ग़म सुना अभी देखना हो तो देख जा कि ख़िज़ाँ है अपनी बहार पर
mirī samt se use ai sabā ye payām-e-āḳhir-e-ġham sunā abhī dekhnā ho to dekh jā ki ḳhizāñ hai apnī bahār par
8
ये फ़रेब-ए-जल्वा है सर-ब-सर मुझे डर ये है दिल-ए-बे-ख़बर कहीं जम न जाए तिरी नज़र इन्हीं चंद नक़्श ओ निगार पर
ye fareb-e-jalva hai sar-ba-sar mujhe Dar ye hai dil-e-be-ḳhabar kahīñ jam na jaa.e tirī nazar inhīñ chand naqsh o nigār par
9
मैं रहीन-ए-दर्द सही मगर मुझे और चाहिए क्या 'जिगर' ग़म-ए-यार है मिरा शेफ़्ता मैं फ़रेफ़्ता ग़म-ए-यार पर
maiñ rahīn-e-dard sahī magar mujhe aur chāhiye kyā 'jigar' ġham-e-yār hai mirā shefta maiñ farefta ġham-e-yār par
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.