Ghazal

इश्क़-ए-ला-महदूद जब तक रहनुमा होता नहीं

Jigar Moradabadi· Ghazal· 11 shers· radif: होता नहीं

This ghazal emphasizes that life can only fulfill its true purpose when guided by boundless, divine love. Employing the mystical metaphor of a drop merging into the ocean, it highlights how transcending personal limits leads to spiritual elevation and ultimate fulfillment.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
इश्क़-ए-ला-महदूद जब तक रहनुमा होता नहीं ज़िंदगी से ज़िंदगी का हक़ अदा होता नहीं
ishq-e-lā-mahdūd jab tak rahnumā hotā nahīñ zindagī se zindagī kā haq adā hotā nahīñ
2
बे-कराँ होता नहीं बे-इंतिहा होता नहीं क़तरा जब तक बढ़ के क़ुल्ज़ुम-आश्ना होता नहीं
be-karāñ hotā nahīñ be-intihā hotā nahīñ qatra jab tak baḌh ke qulzum-āshnā hotā nahīñ
3
उस से बढ़ कर दोस्त कोई दूसरा होता नहीं सब जुदा हो जाएँ लेकिन ग़म जुदा होता नहीं
us se baḌh kar dost koī dūsrā hotā nahīñ sab judā ho jaa.eñ lekin ġham judā hotā nahīñ
4
ज़िंदगी इक हादसा है और कैसा हादसा मौत से भी ख़त्म जिस का सिलसिला होता नहीं
zindagī ik hādsa hai aur kaisā hādsa maut se bhī ḳhatm jis kā silsila hotā nahīñ
5
कौन ये नासेह को समझाए ब-तर्ज़-ए-दिल-नशीं इश्क़ सादिक़ हो तो ग़म भी बे-मज़ा होता नहीं
kaun ye nāseh ko samjhā.e ba-tarz-e-dil-nashīñ ishq sādiq ho to ġham bhī be-mazā hotā nahīñ
6
दर्द से मामूर होती जा रही है काएनात इक दिल-ए-इंसाँ मगर दर्द-आश्ना होता नहीं
dard se māmūr hotī jā rahī hai kā.enāt ik dil-e-insāñ magar dard-āshnā hotā nahīñ
7
मेरे अर्ज़-ए-ग़म पे वो कहना किसी का हाए हाए शिकवा-ए-ग़म शेवा-ए-अहल-ए-वफ़ा होता नहीं
mere arz-e-ġham pe vo kahnā kisī kā haa.e haa.e shikva-e-ġham sheva-e-ahl-e-vafā hotā nahīñ
8
उस मक़ाम-ए-क़ुर्ब तक अब इश्क़ पहुँचा ही जहाँ दीदा-ओ-दिल का भी अक्सर वास्ता होता नहीं
us maqām-e-qarb tak ab ishq pahuñchā hī jahāñ dīda-o-dil kā bhī aksar vāstā hotā nahīñ
9
हर क़दम के साथ मंज़िल लेकिन इस का क्या इलाज इश्क़ ही कम-बख़्त मंज़िल-आश्ना होता नहीं
har qadam ke saath manzil lekin is kā kyā ilaaj ishq hī kam-baḳht manzil-āshnā hotā nahīñ
10
अल्लाह अल्लाह ये कमाल और इर्तिबात-ए-हुस्न-ओ-इश्क़ फ़ासले हों लाख दिल से दिल जुदा होता नहीं
allāh allāh ye kamāl aur irtibāt-e-husn-o-ishq fāsle hoñ laakh dil se dil judā hotā nahīñ
11
क्या क़यामत है कि इस दौर-ए-तरक़्क़ी में 'जिगर' आदमी से आदमी का हक़ अदा होता नहीं
kyā qayāmat hai ki is daur-e-taraqqī meñ 'jigar' aadmī se aadmī kā haq adā hotā nahīñ
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.