Ghazal

दुनिया के सितम याद न अपनी ही वफ़ा याद

Jigar Moradabadi· Ghazal· 9 shers· radif: याद

This ghazal portrays the state of complete absorption and surrender in love, where the lover forgets all worldly cruelties, past grievances, and even his own fidelity. In this transcendent emotional space, nothing remains in his heart and memory except the pure essence of love itself.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
दुनिया के सितम याद न अपनी ही वफ़ा याद अब मुझ को नहीं कुछ भी मोहब्बत के सिवा याद
duniyā ke sitam yaad na apnī hī vafā yaad ab mujh ko nahīñ kuchh bhī mohabbat ke sivā yaad
2
मैं शिकवा ब-लब था मुझे ये भी न रहा याद शायद कि मिरे भूलने वाले ने किया याद
maiñ shikva ba-lab thā mujhe ye bhī na rahā yaad shāyad ki mire bhūlne vaale ne kiyā yaad
3
छेड़ा था जिसे पहले-पहल तेरी नज़र ने अब तक है वो इक नग़्मा-ए-बे-साज़-ओ-सदा याद
chheḌā thā jise pahle-pahal terī nazar ne ab tak hai vo ik naġhma-e-be-sāz-o-sadā yaad
4
जब कोई हसीं होता है सरगर्म-ए-नवाज़िश उस वक़्त वो कुछ और भी आते हैं सिवा याद
jab koī hasīñ hotā hai sargarm-e-navāzish us vaqt vo kuchh aur bhī aate haiñ sivā yaad
5
क्या जानिए क्या हो गया अरबाब-ए-जुनूँ को मरने की अदा याद न जीने की अदा याद
kyā jāniye kyā ho gayā arbāb-e-junūñ ko marne kī adā yaad na jiine kī adā yaad
6
मुद्दत हुई इक हादसा-ए-इश्क़ को लेकिन अब तक है तिरे दिल के धड़कने की सदा याद
muddat huī ik hādsa-e-ishq ko lekin ab tak hai tire dil ke dhaḌakne kī sadā yaad
7
हाँ हाँ तुझे क्या काम मिरी शिद्दत-ए-ग़म से हाँ हाँ नहीं मुझ को तिरे दामन की हवा याद
haañ haañ tujhe kyā kaam mirī shiddat-e-ġham se haañ haañ nahīñ mujh ko tire dāman kī havā yaad
8
मैं तर्क-ए-रह-ओ-रस्म-ए-जुनूँ कर ही चुका था क्यूँ आ गई ऐसे में तिरी लग़्ज़िश-ए-पा याद
maiñ tark-e-rah-o-rasm-e-junūñ kar hī chukā thā kyuuñ aa ga.ī aise meñ tirī laġhzish-e-pā yaad
9
क्या लुत्फ़ कि मैं अपना पता आप बताऊँ कीजे कोई भूली हुई ख़ास अपनी अदा याद
kyā lutf ki maiñ apnā pata aap batā.ūñ kiije koī bhūlī huī ḳhaas apnī adā yaad
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.