Ghazal

काबे की है हवस कभी कू-ए-बुताँ की है

Dagh Dehlvi· Ghazal· 16 shers· radif: की है

This ghazal reflects the restless duality of the human spirit, torn between spiritual yearning (the Kaaba) and earthly affection (the lane of idols). With characteristic wit and subtle melancholy, the poet muses on the fickle nature of desire, unrequited love, and the mystery of human fate.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
काबे की है हवस कभी कू-ए-बुताँ की है मुझ को ख़बर नहीं मिरी मिट्टी कहाँ की है
kaabe kī hai havas kabhī kū-e-butāñ kī hai mujh ko ḳhabar nahīñ mirī miTTī kahāñ kī hai
2
सुन के मिरा फ़साना उन्हें लुत्फ़ आ गया सुनता हूँ अब कि रोज़ तलब क़िस्सा-ख़्वाँ की है
sun ke mirā fasāna unheñ lutf aa gayā suntā huuñ ab ki roz talab qissa-ḳhvāñ kī hai
3
पैग़ाम-बर की बात पर आपस में रंज क्या मेरी ज़बान की है न तुम्हारी ज़बाँ की है
paiġhām-bar kī baat par aapas meñ ranj kyā merī zabān kī hai na tumhārī zabāñ kī hai
4
कुछ ताज़गी हो लज़्ज़त-ए-आज़ार के लिए हर दम मुझे तलाश नए आसमाँ की है
kuchh tāzgī ho lazzat-e-āzār ke liye har dam mujhe talāsh na.e āsmāñ kī hai
5
जाँ-बर भी हो गए हैं बहुत मुझ से नीम-जाँ क्या ग़म है ऐ तबीब जो पूरी वहाँ की है
jāñ-bar bhī ho ga.e haiñ bahut mujh se nīm-jāñ kyā ġham hai ai tabīb jo puurī vahāñ kī hai
6
हसरत बरस रही है हमारे मज़ार पर कहते हैं सब ये क़ब्र किसी नौजवाँ की है
hasrat baras rahī hai hamāre mazār par kahte haiñ sab ye qabr kisī naujavāñ kī hai
7
वक़्त-ए-ख़िराम-ए-नाज़ दिखा दो जुदा जुदा ये चाल हश्र की ये रविश आसमाँ की है
vaqt-e-ḳhirām-e-nāz dikhā do judā judā ye chaal hashr kī ye ravish āsmāñ kī hai
8
फ़ुर्सत कहाँ कि हम से किसी वक़्त तू मिले दिन ग़ैर का है रात तिरे पासबाँ की है
fursat kahāñ ki ham se kisī vaqt tū mile din ġhair kā hai raat tire pāsbāñ kī hai
9
क़ासिद की गुफ़्तुगू से तसल्ली हो किस तरह छुपती नहीं वो बात जो तेरी ज़बाँ की है
qāsid kī guftugū se tasallī ho kis tarah chhuptī nahīñ vo baat jo terī zabāñ kī hai
10
जौर-ए-रक़ीब ओ ज़ुल्म-ए-फ़लक का नहीं ख़याल तशवीश एक ख़ातिर-ए-ना-मेहरबाँ की है
jaur-e-raqīb o zulm-e-falak kā nahīñ ḳhayāl tashvīsh ek ḳhātir-e-nā-mehrbāñ kī hai
11
सुन कर मिरा फ़साना-ए-ग़म उस ने ये कहा हो जाए झूट सच यही ख़ूबी बयाँ की है
sun kar mirā fasāna-e-ġham us ne ye kahā ho jaa.e jhuuT sach yahī ḳhūbī bayāñ kī hai
12
दामन संभाल बाँध कमर आस्तीं चढ़ा ख़ंजर निकाल दिल में अगर इम्तिहाँ की है
dāman sambhāl bāñdh kamar āstīñ chaḌhā ḳhanjar nikāl dil meñ agar imtihāñ kī hai
13
हर हर नफ़स में दिल से निकलने लगा ग़ुबार क्या जाने गर्द-ए-राह ये किस कारवाँ की है
har har nafas meñ dil se nikalne lagā ġhubār kyā jaane gard-e-rāh ye kis kārvāñ kī hai
14
क्यूँकि न आते ख़ुल्द से आदम ज़मीन पर मौज़ूँ वहीं वो ख़ूब है जो सुनते जहाँ की है
kyūñki na aate ḳhuld se aadam zamīn par mauzūñ vahīñ vo ḳhuub hai jo sunte jahāñ kī hai
15
तक़दीर से ये पूछ रहा हूँ कि इश्क़ में तदबीर कोई भी सितम-ए-ना-गहाँ की है
taqdīr se ye pūchh rahā huuñ ki ishq meñ tadbīr koī bhī sitam-e-nā-gahāñ kī hai
16
उर्दू है जिस का नाम हमीं जानते हैं 'दाग़' हिन्दोस्ताँ में धूम हमारी ज़बाँ की है
urdu hai jis kā naam hamīñ jānte haiñ 'dāġh' hindostāñ meñ dhuum hamārī zabāñ kī hai
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

काबे की है हवस कभी कू-ए-बुताँ की है | Sukhan AI