Ghazal

जो हो सकता है उस से वो किसी से हो नहीं सकता

Dagh Dehlvi· Ghazal· 17 shers· radif: से हो नहीं सकता

This ghazal poignantly reflects on human vulnerability and existential helplessness, contrasting inevitable human limitations with absolute power. Through themes of unrequited love and destiny, it conveys the profound sorrow of lacking control even over one's own life and death.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
जो हो सकता है उस से वो किसी से हो नहीं सकता मगर देखो तो फिर कुछ आदमी से हो नहीं सकता
jo ho saktā hai us se vo kisī se ho nahīñ saktā magar dekho to phir kuchh aadmī se ho nahīñ saktā
2
मोहब्बत में करे क्या कुछ किसी से हो नहीं सकता मिरा मरना भी तो मेरी ख़ुशी से हो नहीं सकता
mohabbat meñ kare kyā kuchh kisī se ho nahīñ saktā mirā marnā bhī to merī ḳhushī se ho nahīñ saktā
3
अलग करना रक़ीबों का इलाही तुझ को आसाँ है मुझे मुश्किल कि मेरी बेकसी से हो नहीं सकता
alag karnā raqīboñ kā ilāhī tujh ko āsāñ hai mujhe mushkil ki merī bekasī se ho nahīñ saktā
4
किया है वादा-ए-फ़र्दा उन्हों ने देखिए क्या हो यहाँ सब्र ओ तहम्मुल आज ही से हो नहीं सकता
kiyā hai vāda-e-fardā unhoñ ne dekhiye kyā ho yahāñ sabr o tahammul aaj hī se ho nahīñ saktā
5
ये मुश्ताक़-ए-शहादत किस जगह जाएँ किसे ढूँडें कि तेरा काम क़ातिल जब तुझी से हो नहीं सकता
ye mushtāq-e-shahādat kis jagah jaa.eñ kise DhūñDeñ ki terā kaam qātil jab tujhī se ho nahīñ saktā
6
लगा कर तेग़ क़िस्सा पाक कीजिए दाद-ख़्वाहों का किसी का फ़ैसला कर मुंसिफ़ी से हो नहीं सकता
lagā kar teġh qissa paak kījiye dād-ḳhvāhoñ kā kisī kā faisla kar munsifī se ho nahīñ saktā
7
मिरा दुश्मन ब-ज़ाहिर चार दिन को दोस्त है तेरा किसी का हो रहे ये हर किसी से हो नहीं सकता
mirā dushman ba-zāhir chaar din ko dost hai terā kisī kā ho rahe ye har kisī se ho nahīñ saktā
8
पुर्सिश कहोगे क्या वहाँ जब याँ ये सूरत है अदा इक हर्फ़-ए-वादा नाज़ुकी से हो नहीं सकता
pursish kahoge kyā vahāñ jab yaañ ye sūrat hai adā ik harf-e-vāda nāzukī se ho nahīñ saktā
9
न कहिए गो कि हाल-ए-दिल मगर रंग-आश्ना हैं हम ये ज़ाहिर आप की क्या ख़ामुशी से हो नहीं सकता
na kahiye go ki hāl-e-dil magar rañg-āshnā haiñ ham ye zāhir aap kī kyā ḳhāmushī se ho nahīñ saktā
10
किया जो हम ने ज़ालिम क्या करेगा ग़ैर मुँह क्या है करे तो सब्र ऐसा आदमी से हो नहीं सकता
kiyā jo ham ne zālim kyā karegā ġhair muñh kyā hai kare to sabr aisā aadmī se ho nahīñ saktā
11
चमन में नाज़ बुलबुल ने किया जो अपनी नाले पर चटक कर ग़ुंचा बोला क्या किसी से हो नहीं सकता
chaman meñ naaz bulbul ne kiyā jo apnī naale par chaTak kar ġhuncha bolā kyā kisī se ho nahīñ saktā
12
नहीं गर तुझ पे क़ाबू दिल है पर कुछ ज़ोर हो अपना करूँ क्या ये भी तो ना-ताक़ती से हो नहीं सकता
nahīñ gar tujh pe qaabū dil hai par kuchh zor ho apnā karūñ kyā ye bhī to nā-tāqatī se ho nahīñ saktā
13
न रोना है तरीक़े का न हँसना है सलीक़े का परेशानी में कोई काम जी से हो नहीं सकता
na ronā hai tarīqe kā na hañsnā hai salīqe kā pareshānī meñ koī kaam jī se ho nahīñ saktā
14
हुआ हूँ इस क़दर महजूब अर्ज़-ए-मुद्दआ कर के कि अब तो उज़्र भी शर्मिंदगी से हो नहीं सकता
huā huuñ is qadar mahjūb arz-e-mudda.ā kar ke ki ab to uzr bhī sharmindagī se ho nahīñ saktā
15
ग़ज़ब में जान है क्या कीजे बदला रंज-ए-फ़ुर्क़त का बदी से कर नहीं सकते ख़ुशी से हो नहीं सकता
ġhazab meñ jaan hai kyā kiije badla rañj-e-furqat kā badī se kar nahīñ sakte ḳhushī se ho nahīñ saktā
16
मज़ा जो इज़्तिराब-ए-शौक़ से आशिक़ को है हासिल वो तस्लीम ओ रज़ा ओ बंदगी से हो नहीं सकता
mazā jo iztirāb-e-shauq se āshiq ko hai hāsil vo taslīm o razā o bandagī se ho nahīñ saktā
17
ख़ुदा जब दोस्त है ऐ 'दाग़' क्या दुश्मन से अंदेशा हमारा कुछ किसी की दुश्मनी से हो नहीं सकता
ḳhudā jab dost hai ai 'dāġh' kyā dushman se andesha hamārā kuchh kisī kī dushmanī se ho nahīñ saktā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

जो हो सकता है उस से वो किसी से हो नहीं सकता | Sukhan AI