Ghazal

जल्वे मिरी निगाह में कौन-ओ-मकाँ के हैं

Dagh Dehlvi· Ghazal· 10 shers· radif: के हैं

This ghazal explores the omnipresent radiance of the Beloved across the cosmos, declaring that divine manifestations cannot stay hidden from a perceptive gaze. Concurrently, it captures the intense agony of unspoken love, where hidden sorrows struggle under the painful restraint of silence.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
जल्वे मिरी निगाह में कौन-ओ-मकाँ के हैं मुझ से कहाँ छुपेंगे वो ऐसे कहाँ के हैं
jalve mirī nigāh meñ kaun-o-makāñ ke haiñ mujh se kahāñ chhupeñge vo aise kahāñ ke haiñ
2
खुलते नहीं हैं राज़ जो सोज़-ए-निहाँ के हैं क्या फूटने के वास्ते छाले ज़बाँ के हैं
khulte nahīñ haiñ raaz jo soz-e-nihāñ ke haiñ kyā phūTne ke vāste chhāle zabāñ ke haiñ
3
करते हैं क़त्ल वो तलब-ए-मग़फ़िरत के बाद जो थे दुआ के हाथ वही इम्तिहाँ के हैं
karte haiñ qatl vo talab-e-maġhfirat ke ba.ad jo the duā ke haath vahī imtihāñ ke haiñ
4
जिस रोज़ कुछ शरीक हुई मेरी मुश्त-ए-ख़ाक उस रोज़ से ज़मीं पे सितम आसमाँ के हैं
jis roz kuchh sharīk huī merī musht-e-ḳhāk us roz se zamīñ pe sitam āsmāñ ke haiñ
5
बाज़ू दिखाए तुम ने लगा कर हज़ार हाथ पूरे पड़े तो वो भी बहुत इम्तिहाँ के हैं
baazū dikhā.e tum ne lagā kar hazār haath puure paḌe to vo bhī bahut imtihāñ ke haiñ
6
नासेह के सामने कभी सच बोलता नहीं मेरी ज़बाँ में रंग तुम्हारी ज़बाँ के हैं
nāseh ke sāmne kabhī sach boltā nahīñ merī zabāñ meñ rañg tumhārī zabāñ ke haiñ
7
कैसा जवाब हज़रत-ए-दिल देखिए ज़रा पैग़ाम-बर के हाथ में टुकड़े ज़बाँ के हैं
kaisā javāb hazrat-e-dil dekhiye zarā paiġhām-bar ke haath meñ TukḌe zabāñ ke haiñ
8
क्या इज़्तिराब-ए-शौक़ ने मुझ को ख़जिल किया वो पूछते हैं कहिए इरादे कहाँ के हैं
kyā iztirāb-e-shauq ne mujh ko ḳhajil kiyā vo pūchhte haiñ kahiye irāde kahāñ ke haiñ
9
आशिक़ तिरे अदम को गए किस क़दर तबाह पूछा हर एक ने ये मुसाफ़िर कहाँ के हैं
āshiq tire adam ko ga.e kis qadar tabāh pūchhā har ek ne ye musāfir kahāñ ke haiñ
10
हर-चंद 'दाग़' एक ही अय्यार है मगर दुश्मन भी तो छटे हुए सारे जहाँ के हैं
har-chand 'dāġh' ek hī ayyār hai magar dushman bhī to chhaTe hue saare jahāñ ke haiñ
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.