Ghazal

इस नहीं का कोई इलाज नहीं

Dagh Dehlvi· Ghazal· 16 shers· radif: नहीं

This ghazal portrays the lover's poignant frustration with the beloved's constant refusals and mercurial temperament. With a blend of tender complaint and longing, the poet captures the helplessness of waiting on promises that are perpetually postponed.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
इस नहीं का कोई इलाज नहीं रोज़ कहते हैं आप आज नहीं
is nahīñ kā koī ilaaj nahīñ roz kahte haiñ aap aaj nahīñ
2
कल जो था आज वो मिज़ाज नहीं इस तलव्वुन का कुछ इलाज नहीं
kal jo thā aaj vo mizāj nahīñ is talavvun kā kuchh ilaaj nahīñ
3
आइना देखते ही इतराए फिर ये क्या है अगर मिज़ाज नहीं
aa.ina dekhte hī itrā.e phir ye kyā hai agar mizāj nahīñ
4
ले के दिल रख लो काम आएगा गो अभी तुम को एहतियाज नहीं
le ke dil rakh lo kaam aa.egā go abhī tum ko ehtiyāj nahīñ
5
हो सकें हम मिज़ाज-दाँ क्यूँकर हम को मिलता तिरा मिज़ाज नहीं
ho sakeñ ham mizāj-dāñ kyūñkar ham ko miltā tirā mizāj nahīñ
6
चुप लगी लाल-ए-जाँ-फ़ज़ा को तिरे इस मसीहा का कुछ इलाज नहीं
chup lagī lāl-e-jāñ-fazā ko tire is masīhā kā kuchh ilaaj nahīñ
7
दिल-ए-बे-मुद्दआ ख़ुदा ने दिया अब किसी शय की एहतियाज नहीं
dil-e-be-mudda.ā ḳhudā ne diyā ab kisī shai kī ehtiyāj nahīñ
8
खोटे दामों में ये भी क्या ठहरा दिरहम-ए-'दाग़' का रिवाज नहीं
khoTe dāmoñ meñ ye bhī kyā Thahrā dirham-e-dāġh kā rivāj nahīñ
9
बे-नियाज़ी की शान कहती है बंदगी की कुछ एहतियाज नहीं
be-niyāzī kī shaan kahtī hai bandagī kī kuchh ehtiyāj nahīñ
10
दिल-लगी कीजिए रक़ीबों से इस तरह का मिरा मिज़ाज नहीं
dil-lagī kījiye raqīboñ se is tarah kā mirā mizāj nahīñ
11
इश्क़ है पादशाह-ए-आलम-गीर गरचे ज़ाहिर में तख़्त-ओ-ताज नहीं
ishq hai pādshāh-e-ālam-gīr garche zāhir meñ taḳht-o-tāj nahīñ
12
दर्द-ए-फ़ुर्क़त की गो दवा है विसाल इस के क़ाबिल भी हर मिज़ाज नहीं
dard-e-furqat kī go davā hai visāl is ke qābil bhī har mizāj nahīñ
13
यास ने क्या बुझा दिया दिल को कि तड़प कैसी इख़्तिलाज नहीं
yaas ne kyā bujhā diyā dil ko ki taḌap kaisī iḳhtilāj nahīñ
14
हम तो सीरत-पसंद आशिक़ हैं ख़ूब-रू क्या जो ख़ुश-मिज़ाज नहीं
ham to sīrat-pasand āshiq haiñ ḳhūb-rū kyā jo ḳhush-mizāj nahīñ
15
हूर से पूछता हूँ जन्नत में इस जगह क्या बुतों का राज नहीं
huur se pūchhtā huuñ jannat meñ is jagah kyā butoñ kā raaj nahīñ
16
सब्र भी दिल को 'दाग़' दे लेंगे अभी कुछ इस की एहतियाज नहीं
sabr bhī dil ko 'dāġh' de leñge abhī kuchh is kī ehtiyāj nahīñ
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.