Ghazal

इस अदा से वो जफ़ा करते हैं

Dagh Dehlvi· Ghazal· 15 shers· radif: करते हैं

This ghazal poignantly captures the paradox of love, where the beloved inflicts cruelty with such grace that it appears as loyalty. It laments broken promises and reflects the lover's pain at the sharp contradiction between the beloved's words and actions.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
इस अदा से वो जफ़ा करते हैं कोई जाने कि वफ़ा करते हैं
is adā se vo jafā karte haiñ koī jaane ki vafā karte haiñ
2
यूँ वफ़ा अहद-ए-वफ़ा करते हैं आप क्या कहते हैं क्या करते हैं
yuuñ vafā ahd-e-vafā karte haiñ aap kyā kahte haiñ kyā karte haiñ
3
हम को छेड़ोगे तो पछताओगे हँसने वालों से हँसा करते हैं
ham ko chheḌoge to pachhtāoge hañsne vāloñ se hañsā karte haiñ
4
नामा-बर तुझ को सलीक़ा ही नहीं काम बातों में बना करते हैं
nāma-bar tujh ko salīqa hī nahīñ kaam bātoñ meñ banā karte haiñ
5
चलिए आशिक़ का जनाज़ा उट्ठा आप बैठे हुए क्या करते हैं
chaliye āshiq kā janāza uTThā aap baiThe hue kyā karte haiñ
6
ये बताता नहीं कोई मुझ को दिल जो आता है तो क्या करते हैं
ye batātā nahīñ koī mujh ko dil jo aatā hai to kyā karte haiñ
7
हुस्न का हक़ नहीं रहता बाक़ी हर अदा में वो अदा करते हैं
husn kā haq nahīñ rahtā baaqī har adā meñ vo adā karte haiñ
8
तीर आख़िर बदल-ए-काफ़िर है हम अख़ीर आज दुआ करते हैं
tiir āḳhir badal-e-kāfir hai ham aḳhīr aaj duā karte haiñ
9
रोते हैं ग़ैर का रोना पहरों ये हँसी मुझ से हँसा करते हैं
rote haiñ ġhair kā ronā pahroñ ye hañsī mujh se hañsā karte haiñ
10
इस लिए दिल को लगा रक्खा है इस में महबूब रहा करते हैं
is liye dil ko lagā rakkhā hai is meñ mahbūb rahā karte haiñ
11
तुम मिलोगे न वहाँ भी हम से हश्र से पहले गिला करते हैं
tum miloge na vahāñ bhī ham se hashr se pahle gila karte haiñ
12
झाँक कर रौज़न-ए-दर से मुझ को क्या वो शोख़ी से हया करते हैं
jhāñk kar rauzan-e-dar se mujh ko kyā vo shoḳhī se hayā karte haiñ
13
उस ने एहसान जता कर ये कहा आप किस मुँह से गिला करते हैं
us ne ehsān jatā kar ye kahā aap kis muñh se gila karte haiñ
14
रोज़ लेते हैं नया दिल दिलबर नहीं मालूम ये क्या करते हैं
roz lete haiñ nayā dil dilbar nahīñ mālūm ye kyā karte haiñ
15
'दाग़' तू देख तो क्या होता है जब्र पर सब्र किया करते हैं
'dāġh' tū dekh to kyā hotā hai jabr par sabr kiyā karte haiñ
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

इस अदा से वो जफ़ा करते हैं | Sukhan AI