Ghazal

फ़लक देता है जिन को ऐश उन को ग़म भी होते हैं

Dagh Dehlvi· Ghazal· 14 shers· radif: भी होते हैं

This ghazal reflects on the inevitable duality of life, illustrating how joy and sorrow, celebration and mourning, are deeply intertwined. It also captures the shared anguish of lovers, gently suggesting an end to mutual grievances that only cause distress to both sides.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
फ़लक देता है जिन को ऐश उन को ग़म भी होते हैं जहाँ बजते हैं नक़्क़ारे वहीं मातम भी होते हैं
falak detā hai jin ko aish un ko ġham bhī hote haiñ jahāñ bajte haiñ naqqāre vahīñ mātam bhī hote haiñ
2
गिले शिकवे कहाँ तक होंगे आधी रात तो गुज़री परेशाँ तुम भी होते हो परेशाँ हम भी होते हैं
gile shikve kahāñ tak hoñge aadhī raat to guzrī pareshāñ tum bhī hote ho pareshāñ ham bhī hote haiñ
3
जो रक्खे चारागर काफ़ूर दूनी आग लग जाए कहीं ये ज़ख़्म-ए-दिल शर्मिंदा-ए-मरहम भी होते हैं
jo rakkhe chārāgar kāfūr duunī aag lag jaa.e kahīñ ye zaḳhm-e-dil sharminda-e-marham bhī hote haiñ
4
वो आँखें सामरी-फ़न हैं वो लब ईसा-नफ़स देखो मुझी पर सेहर होते हैं मुझी पर दम भी होते हैं
vo āñkheñ sāmrī-fan haiñ vo lab īsā-nafas dekho mujhī par sehr hote haiñ mujhī par dam bhī hote haiñ
5
ज़माना दोस्ती पर इन हसीनों की न इतराए ये आलम-दोस्त अक्सर दुश्मन-ए-आलम भी होते हैं
zamāna dostī par in hasīnoñ kī na itrā.e ye ālam-dost aksar dushman-e-ālam bhī hote haiñ
6
ब-ज़ाहिर रहनुमा हैं और दिल में बद-गुमानी है तिरे कूचे में जो जाता है आगे हम भी होते हैं
ba-zāhir rahnumā haiñ aur dil meñ bad-gumānī hai tire kūche meñ jo jaatā hai aage ham bhī hote haiñ
7
हमारे आँसुओं की आबदारी और ही कुछ है कि यूँ होने को रौशन गौहर-ए-शबनम भी होते हैं
hamāre āñsuoñ kī ābdārī aur hī kuchh hai ki yuuñ hone ko raushan gauhar-e-shabnam bhī hote haiñ
8
ख़ुदा के घर में क्या है काम ज़ाहिद बादा-ख़्वारों का जिन्हें मिलती नहीं वो तिश्ना-ए-ज़मज़म भी होते हैं
ḳhudā ke ghar meñ kyā hai kaam zāhid bāda-ḳhvāroñ kā jinheñ miltī nahīñ vo tishna-e-zamzam bhī hote haiñ
9
हमारे साथ ही पैदा हुआ है इश्क़ ऐ नासेह जुदाई किस तरह से हो जुदा तवाम भी होते हैं
hamāre saath hī paidā huā hai ishq ai nāseh judā.ī kis tarah se ho judā tavām bhī hote haiñ
10
नहीं घटती शब-ए-फ़ुर्क़त भी अक्सर हम ने देखा है जो बढ़ जाते हैं हद से वो ही घट कर कम भी होते हैं
nahīñ ghaTtī shab-e-furqat bhī aksar ham ne dekhā hai jo baḌh jaate haiñ had se vo hī ghaT kar kam bhī hote haiñ
11
बचाऊँ पैरहन क्या चारागर मैं दस्त-ए-वहशत से कहीं ऐसे गरेबाँ दामन-ए-मरयम भी होते हैं
bachā.ūñ pairahan kyā chārāgar maiñ dast-e-vahshat se kahīñ aise garebāñ dāman-e-maryam bhī hote haiñ
12
तबीअत की कजी हरगिज़ मिटाए से नहीं मिटती कभी सीधे तुम्हारे गेसू-ए-पुर-ख़म भी होते हैं
tabī.at kī kajī hargiz miTā.e se nahīñ miTtī kabhī sīdhe tumhāre gesu-e-pur-ḳham bhī hote haiñ
13
जो कहता हूँ कि मरता हूँ तो फ़रमाते हैं मर जाओ जो ग़श आता है तो मुझ पर हज़ारों दम भी होते हैं
jo kahtā huuñ ki martā huuñ to farmāte haiñ mar jaao jo ġhash aatā hai to mujh par hazāroñ dam bhī hote haiñ
14
किसी का वादा-ए-दीदार तो ऐ 'दाग़' बर-हक़ है मगर ये देखिए दिल-शाद उस दिन हम भी होते हैं
kisī kā vāda-e-dīdār to ai 'dāġh' bar-haq hai magar ye dekhiye dil-shād us din ham bhī hote haiñ
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

फ़लक देता है जिन को ऐश उन को ग़म भी होते हैं | Sukhan AI