Ghazal

दिल को क्या हो गया ख़ुदा जाने

Dagh Dehlvi· Ghazal· 14 shers

This ghazal reflects on the inexplicable melancholy and mysterious despondency of the heart. With a tone of poignant helplessness, the poet portrays an inner grief so deep and consuming that the heart can neither find solace nor share its quiet suffering.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
दिल को क्या हो गया ख़ुदा जाने क्यूँ है ऐसा उदास क्या जाने
dil ko kyā ho gayā ḳhudā jaane kyuuñ hai aisā udaas kyā jaane
2
अपने ग़म में भी उस को सरफ़ा है न खिला जाने वो न खा जाने
apne ġham meñ bhī us ko sarfa hai na khilā jaane vo na khā jaane
3
इस तजाहुल का क्या ठिकाना है जान कर जो न मुद्दआ' जाने
is tajāhul kā kyā Thikānā hai jaan kar jo na mudda.ā jaane
4
कह दिया मैं ने राज़-ए-दिल अपना उस को तुम जानो या ख़ुदा जाने
kah diyā maiñ ne rāz-e-dil apnā us ko tum jaano yā ḳhudā jaane
5
क्या ग़रज़ क्यूँ इधर तवज्जोह हो हाल-ए-दिल आप की बला जाने
kyā ġharaz kyuuñ idhar tavajjoh ho hāl-e-dil aap kī balā jaane
6
जानते जानते ही जानेगा मुझ में क्या है अभी वो क्या जाने
jānte jānte hī jānegā mujh meñ kyā hai abhī vo kyā jaane
7
क्या हम उस बद-गुमाँ से बात करें जो सताइश को भी गिला जाने
kyā ham us bad-gumāñ se baat kareñ jo satā.ish ko bhī gila jaane
8
तुम न पाओगे सादा-दिल मुझ सा जो तग़ाफ़ुल को भी हया जाने
tum na pāoge sāda-dil mujh sā jo taġhāful ko bhī hayā jaane
9
है अबस जुर्म-ए-इश्क़ पर इल्ज़ाम जब ख़ता-वार भी ख़ता जाने
hai abas jurm-e-ishq par ilzām jab ḳhatā-vār bhī ḳhatā jaane
10
नहीं कोताह दामन-ए-उम्मीद आगे अब दस्त-ए-ना-रसा जाने
nahīñ kotāh dāman-e-ummīd aage ab dast-e-nā-rasā jaane
11
जो हो अच्छा हज़ार अच्छों का वाइ'ज़ उस बुत को तू बुरा जाने
jo ho achchhā hazār achchhoñ kā vaa.iz us but ko tū burā jaane
12
की मिरी क़द्र मिस्ल-ए-शाह-ए-दकन किसी नव्वाब ने न राजा ने
kī mirī qadr misl-e-shāh-e-dakan kisī navvāb ne na raajā ne
13
उस से उट्ठेगी क्या मुसीबत-ए-इश्क़ इब्तिदा को जो इंतिहा जाने
us se uTThegī kyā musībat-e-ishq ibtidā ko jo intihā jaane
14
'दाग़' से कह दो अब न घबराओ काम अपना बता हुआ जाने
'dāġh' se kah do ab na ghabrāo kaam apnā batā huā jaane
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

दिल को क्या हो गया ख़ुदा जाने | Sukhan AI