Ghazal

न दो दुश्नाम हम को इतनी बद-ख़़ूई से क्या हासिल

Bahadur Shah Zafar· Ghazal· 9 shers· radif: से क्या हासिल

In this ghazal, the poet gently remonstrates with the beloved over their harsh words, frowning demeanor, and habitual cruelty. Expressing a sense of wounded pride and heartbreak, the lover remarks that belated attempts at consolation are utterly meaningless once the heart has already been broken.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
न दो दुश्नाम हम को इतनी बद-ख़़ूई से क्या हासिल तुम्हें देना ही होगा बोसा ख़म-रूई से क्या हासिल
na do dushnām ham ko itnī bad-ḳhūī se kyā hāsil tumheñ denā hī hogā bosa ḳham-rūī se kyā hāsil
2
दिल-आज़ारी ने तेरी कर दिया बिल्कुल मुझे बे-दिल न कर अब मेरी दिल-जूई कि दिल-जूई से क्या हासिल
dil-āzārī ne terī kar diyā bilkul mujhe be-dil na kar ab merī dil-jūī ki dil-jūī se kyā hāsil
3
न जब तक चाक हो दिल फाँस कब दिल की निकलती है जहाँ हो काम ख़ंजर का वहाँ सूई से क्या हासिल
na jab tak chaak ho dil phāñs kab dil kī nikaltī hai jahāñ ho kaam ḳhanjar kā vahāñ suuī se kyā hāsil
4
बुराई या भलाई गो है अपने वास्ते लेकिन किसी को क्यूँ कहें हम बद कि बद-गूई से क्या हासिल
burā.ī yā bhalā.ī go hai apne vāste lekin kisī ko kyuuñ kaheñ ham bad ki bad-gūī se kyā hāsil
5
न कर फ़िक्र-ए-ख़िज़ाब ऐ शैख़ तू पीरी में जाने दे जवाँ होना नहीं मुमकिन सियह-रूई से क्या हासिल
na kar fikr-e-ḳhizāb ai shaiḳh tū piirī meñ jaane de javāñ honā nahīñ mumkin siyah-rūī se kyā hāsil
6
चढ़ाए आस्तीं ख़ंजर-ब-कफ़ वो यूँ जो फिरता है उसे क्या जाने है उस अरबदा-जूई से क्या हासिल
chaḌhā.e āstīñ ḳhanjar-ba-kaf vo yuuñ jo phirtā hai use kyā jaane hai us arbada-jūī se kyā hāsil
7
अबस पम्बा न रख दाग़-ए-दिल-ए-सोज़ाँ पे तू मेरे कि अंगारे पे होगा चारागर रूई से क्या हासिल
abas pamba na rakh dāġh-e-dil-e-sozāñ pe tū mere ki añgāre pe hogā chāragar ruuī se kyā hāsil
8
शमीम-ए-ज़ुल्फ़ हो उस की तो हो फ़रहत मिरे दिल को सबा होवेगा मुश्क-चीं की ख़ुशबूई से क्या हासिल
shamīm-e-zulf ho us kī to ho farhat mire dil ko sabā hovegā mushk-chīñ kī ḳhushbūī se kyā hāsil
9
न होवे जब तलक इंसाँ को दिल से मेल-ए-यक-जानिब 'ज़फ़र' लोगों के दिखलाने को यकसूई से क्या हासिल
na hove jab talak insāñ ko dil se mel-e-yak-jānib 'zafar' logoñ ke dikhlāne ko yaksūī se kyā hāsil
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.