Ghazal

वस्ल का उस के दिल-ए-ज़ार तमन्नाई है

Altaf Hussain Hali· Ghazal· 7 shers· radif: है

This ghazal portrays the poignant irony of yearning for union with a beloved with whom there is neither prior acquaintance nor meeting. Ultimately, it reflects a sense of bittersweet relief, where the complete severing of hope brings enduring peace to the tormented heart.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
वस्ल का उस के दिल-ए-ज़ार तमन्नाई है न मुलाक़ात है जिस से न शनासाई है
vasl kā us ke dil-e-zār tamannā.ī hai na mulāqāt hai jis se na shanāsā.ī hai
2
क़त्अ उम्मीद ने दिल कर दिए यकसू सद शुक्र शक्ल मुद्दत में ये अल्लाह ने दिखलाई है
qat.a ummīd ne dil kar diye yaksū sad shukr shakl muddat meñ ye allāh ne dikhlā.ī hai
3
क़ूव्वत-ए-दस्त-ए-ख़ुदाई है शकेबाई में वक़्त जब आ के पड़ा है यही काम आई है
quvvat-e-dast-e-ḳhudā.ī hai shakebā.ī meñ vaqt jab aa ke paḌā hai yahī kaam aa.ī hai
4
डर नहीं ग़ैर का जो कुछ है सो अपना डर है हम ने जब खाई है अपने ही से ज़क खाई है
Dar nahīñ ġhair kā jo kuchh hai so apnā Dar hai ham ne jab khaa.ī hai apne hī se zak khaa.ī hai
5
नशे में चूर न हों झाँझ में मख़्मूर न हों पंद ये पीर-ए-ख़राबात ने फ़रमाई है
nashe meñ chuur na hoñ jhāñjh meñ maḳhmūr na hoñ pand ye pīr-e-ḳharābāt ne farmā.ī hai
6
नज़र आती नहीं अब दिल में तमन्ना कोई बाद मुद्दत के तमन्ना मिरी बर आई है
nazar aatī nahīñ ab dil meñ tamannā koī baad muddat ke tamannā mirī bar aa.ī hai
7
बात सच्ची कही और उँगलियाँ उट्ठीं सब की सच में 'हाली' कोई रुस्वाई सी रुस्वाई है
baat sachchī kahī aur uñgliyāñ uTThīñ sab kī sach meñ 'hālī' koī rusvā.ī sī rusvā.ī hai
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

वस्ल का उस के दिल-ए-ज़ार तमन्नाई है | Sukhan AI