Ghazal

मैं तो मैं ग़ैर को मरने से अब इंकार नहीं

Altaf Hussain Hali· Ghazal· 7 shers· radif: नहीं

This ghazal portrays absolute surrender to the irresistible charm and grace of the beloved. It articulates profound themes of helplessness, self-realization, and the quiet acceptance of one's limitations along the arduous journey of love.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
मैं तो मैं ग़ैर को मरने से अब इंकार नहीं इक क़यामत है तिरे हाथ में तलवार नहीं
maiñ to maiñ ġhair ko marne se ab inkār nahīñ ik qayāmat hai tire haath meñ talvār nahīñ
2
कुछ पता मंज़िल-ए-मक़्सूद का पाया हम ने जब ये जाना कि हमें ताक़त-ए-रफ़्तार नहीं
kuchh patā manzil-e-maqsūd kā paayā ham ne jab ye jaanā ki hameñ tāqat-e-raftār nahīñ
3
चश्म-ए-बद-दूर बहुत फिरते हैं अग़्यार के साथ ग़ैरत-ए-इश्क़ से अब तक वो ख़बर-दार नहीं
chashm-e-bad-dūr bahut phirte haiñ aġhyār ke saath ġhairat-e-ishq se ab tak vo ḳhabar-dār nahīñ
4
हो चुका नाज़ उठाने में है गो काम तमाम लिल्लाहिल-हम्द कि बाहम कोई तकरार नहीं
ho chukā naaz uThāne meñ hai go kaam tamām lillāhil-hamd ki bāham koī takrār nahīñ
5
मुद्दतों रश्क ने अग़्यार से मिलने न दिया दिल ने आख़िर ये दिया हुक्म कि कुछ आर नहीं
muddatoñ rashk ne aġhyār se milne na diyā dil ne āḳhir ye diyā hukm ki kuchh aar nahīñ
6
अस्ल मक़्सूद का हर चीज़ में मिलता है पता वर्ना हम और किसी शय के तलबगार नहीं
asl maqsūd kā har chiiz meñ miltā hai patā varna ham aur kisī shai ke talabgār nahīñ
7
बात जो दिल में छुपाते नहीं बनती 'हाली' सख़्त मुश्किल है कि वो क़ाबिल-ए-इज़हार नहीं
baat jo dil meñ chhupāte nahīñ bantī 'hālī' saḳht mushkil hai ki vo qābil-e-iz.hār nahīñ
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

मैं तो मैं ग़ैर को मरने से अब इंकार नहीं | Sukhan AI