Ghazal

कर के बीमार दी दवा तू ने

Altaf Hussain Hali· Ghazal· 7 shers· radif: तू ने

This ghazal explores the paradoxical essence of love, where the beloved is both the cause of afflictions and the sole remedy. It captures a poignant journey of total surrender, heartfelt longing, and the ultimate attainment of spiritual peace and immortality.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
कर के बीमार दी दवा तू ने जान से पहले दिल लिया तू ने
kar ke bīmār dī davā tū ne jaan se pahle dil liyā tū ne
2
रह-रव-ए-तिश्ना-लब न घबराना अब लिया चश्मा-ए-बक़ा तू ने
rah-rav-e-tishna-lab na ghabrānā ab liyā chashma-e-baqā tū ne
3
शैख़ जब दिल ही दैर में न लगा आ के मस्जिद से क्या लिया तू ने
shaiḳh jab dil hī dair meñ na lagā aa ke masjid se kyā liyā tū ne
4
दूर हो ऐ दिल-ए-मआल अंदेश खो दिया उम्र का मज़ा तू ने
duur ho ai dil-e-ma.āl andesh kho diyā umr kā mazā tū ne
5
एक बेगाना वार कर के निगाह क्या किया चश्म-ए-आश्ना तू ने
ek begāna vaar kar ke nigāh kyā kiyā chashm-e-āshnā tū ne
6
दिल ओ दीं खो के आए थे सू-ए-दैर याँ भी सब कुछ दिया ख़ुदा तू ने
dil o diiñ kho ke aa.e the sū-e-dair yaañ bhī sab kuchh diyā ḳhudā tū ne
7
ख़ुश है उम्मीद-ए-ख़ुल्द पर 'हाली' कोई पूछे कि क्या किया तू ने
ḳhush hai ummīd-e-ḳhuld par 'hālī' koī pūchhe ki kyā kiyā tū ne
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

कर के बीमार दी दवा तू ने | Sukhan AI