Ghazal

जीते जी मौत के तुम मुँह में न जाना हरगिज़

Altaf Hussain Hali· Ghazal· 23 shers· radif: हरगिज़

In this ghazal, the poet earnestly warns his companions against the perils of falling in love, equating romantic attachment to voluntarily stepping into the jaws of death. Through vivid imagery, he depicts love as a dangerous, predatory force as lethal as locking eyes with a fierce lion.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
जीते जी मौत के तुम मुँह में न जाना हरगिज़ दोस्तो दिल न लगाना न लगाना हरगिज़
jiite jī maut ke tum muñh meñ na jaanā hargiz dosto dil na lagānā na lagānā hargiz
2
इश्क़ भी ताक में बैठा है नज़र-बाज़ों की देखना शेर से आँखें न लड़ाना हरगिज़
ishq bhī taak meñ baiThā hai nazar-bāzoñ kī dekhnā sher se āñkheñ na laḌānā hargiz
3
हाथ मलने न हों पीरी में अगर हसरत से तो जवानी में न ये रोग बसाना हरगिज़
haath malne na hoñ piirī meñ agar hasrat se to javānī meñ na ye rog basānā hargiz
4
जितने रस्ते थे तिरे हो गए वीराँ ऐ इश्क़ आ के वीरानों में अब घर न बसाना हरगिज़
jitne raste the tire ho ga.e vīrāñ ai ishq aa ke vīrānoñ meñ ab ghar na basānā hargiz
5
कूच सब कर गए दिल्ली से तिरे क़द्र-शनास क़द्र याँ रह के अब अपनी न गँवाना हरगिज़
kuuch sab kar ga.e dillī se tire qadr-shanās qadr yaañ rah ke ab apnī na gañvānā hargiz
6
तज़्किरा देहली-ए-मरहूम का ऐ दोस्त न छेड़ न सुना जाएगा हम से ये फ़साना हरगिज़
tazkira dehli-e-marhūm kā ai dost na chheḌ na sunā jā.egā ham se ye fasāna hargiz
7
ढूँडता है दिल-ए-शोरीदा बहाने मुतरिब दर्द-अंगेज़ ग़ज़ल कोई न गाना हरगिज़
DhūñDtā hai dil-e-shorīda bahāne mutrib dard-añgez ġhazal koī na gaanā hargiz
8
सोहबतें अगली मुसव्विर हमें याद आएँगी कोई दिलचस्प मुरक़्क़ा न दिखाना हरगिज़
sohbateñ aglī musavvir hameñ yaad ā.eñgī koī dilchasp muraqqā na dikhānā hargiz
9
ले के दाग़ आएगा सीने पे बहुत ऐ सय्याह देख इस शहर के खंडरों में न जाना हरगिज़
le ke daaġh aa.egā siine pe bahut ai sayyāh dekh is shahr ke khañDaroñ meñ na jaanā hargiz
10
चप्पे चप्पे पे हैं याँ गौहर-ए-यकता तह-ए-ख़ाक दफ़्न होगा कहीं इतना न ख़ज़ाना हरगिज़
chappe chappe pe haiñ yaañ gauhar-e-yaktā tah-e-ḳhāk dafn hogā kahīñ itnā na ḳhazāna hargiz
11
मिट गए तेरे मिटाने के निशाँ भी अब तो ऐ फ़लक इस से ज़ियादा न मिटाना हरगिज़
miT ga.e tere miTāne ke nishāñ bhī ab to ai falak is se ziyāda na miTānā hargiz
12
वो तो भूले थे हमें हम भी उन्हें भूल गए ऐसा बदला है न बदलेगा ज़माना हरगिज़
vo to bhūle the hameñ ham bhī unheñ bhuul ga.e aisā badlā hai na badlegā zamāna hargiz
13
हम को गर तू ने रुलाया तो रुलाया ऐ चर्ख़ हम पे ग़ैरों को तो ज़ालिम न हँसाना हरगिज़
ham ko gar tū ne rulāyā to rulāyā ai charḳh ham pe ġhairoñ ko to zālim na hañsānā hargiz
14
आख़िरी दौर में भी तुझ को क़सम है साक़ी भर के इक जाम न प्यासों को पिलाना हरगिज़
āḳhirī daur meñ bhī tujh ko qasam hai saaqī bhar ke ik jaam na pyāsoñ ko pilānā hargiz
15
बख़्त सोए हैं बहुत जाग के ऐ दौर-ए-ज़माँ न अभी नींद के मातों को जगाना हरगिज़
baḳht so.e haiñ bahut jaag ke ai daur-e-zamāñ na abhī niind ke mātoñ ko jagānā hargiz
16
कभी ऐ इल्म ओ हुनर घर था तुम्हारा दिल्ली हम को भूले हो तो घर भूल न जाना हरगिज़
kabhī ai ilm o hunar ghar thā tumhārā dillī ham ko bhūle ho to ghar bhuul na jaanā hargiz
17
शाइरी मर चुकी अब ज़िंदा न होगी यारो याद कर कर के उसे जी न कुढ़ाना हरगिज़
shā.irī mar chukī ab zinda na hogī yaaro yaad kar kar ke use jī na kuḌhānā hargiz
18
'ग़ालिब' ओ 'शेफ़्ता' ओ 'नय्यर' ओ 'आज़ुर्दा' ओ 'ज़ौक़' अब दिखाएगा ये शक्लें न ज़माना हरगिज़
'ġhālib' o 'shefta' o 'nayyar' o 'āzurda' o 'zauq' ab dikhā.egā ye shakleñ na zamānā hargiz
19
'मोमिन' ओ 'अल्वी' ओ 'सहबाई' ओ 'ममनूँ' के बाद शेर का नाम न लेगा कोई दाना हरगिज़
'momin' o 'alvī' o 'sahbā.ī' o 'mamnūñ' ke baad sher kā naam na legā koī daanā hargiz
20
कर दिया मर के यगानों ने यगाना हम को वर्ना याँ कोई न था हम में यगाना हरगिज़
kar diyā mar ke yagānoñ ne yagāna ham ko varna yaañ koī na thā ham meñ yagāna hargiz
21
'दाग़' ओ 'मजरूह' को सुन लो कि फिर इस गुलशन में न सुनेगा कोई बुलबुल का तराना हरगिज़
'dāġh' o 'majrūh' ko sun lo ki phir is gulshan meñ na sunegā koī bulbul kā tarāna hargiz
22
रात आख़िर हुई और बज़्म हुई ज़ेर-ओ-ज़बर अब न देखोगे कभी लुत्फ़-ए-शबाना हरगिज़
raat āḳhir huī aur bazm huī zer-o-zabar ab na dekhoge kabhī lutf-e-shabāna hargiz
23
बज़्म-ए-मातम तो नहीं बज़्म-ए-सुख़न है 'हाली' याँ मुनासिब नहीं रो रो के रुलाना हरगिज़
bazm-e-mātam to nahīñ bazm-e-suḳhan hai 'hālī' yaañ munāsib nahīñ ro ro ke rulānā hargiz
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.

जीते जी मौत के तुम मुँह में न जाना हरगिज़ | Sukhan AI