Ghazal

इश्क़-ए-बुत में कुफ़्र का मुझ को अदब करना पड़ा

Akbar Allahabadi· Ghazal· 8 shers· radif: करना पड़ा

This ghazal reflects the complete surrender and helplessness of a lover who compromises even his faith and principles for the sake of the beloved. It also poignantly captures the agonizing trial of separation, revealing how enduring the beloved's absence proved far more difficult than imagined.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
इश्क़-ए-बुत में कुफ़्र का मुझ को अदब करना पड़ा जो बरहमन ने कहा आख़िर वो सब करना पड़ा
ishq-e-but meñ kufr kā mujh ko adab karnā paḌā jo barhaman ne kahā āḳhir vo sab karnā paḌā
2
सब्र करना फ़ुर्क़त-ए-महबूब में समझे थे सहल खुल गया अपनी समझ का हाल जब करना पड़ा
sabr karnā furqat-e-mahbūb meñ samjhe the sahl khul gayā apnī samajh kā haal jab karnā paḌā
3
तजरबे ने हुब्ब-ए-दुनिया से सिखाया एहतिराज़ पहले कहते थे फ़क़त मुँह से और अब करना पड़ा
tajrabe ne hubb-e-duniyā se sikhāyā ehtirāz pahle kahte the faqat muñh se aur ab karnā paḌā
4
शैख़ की मज्लिस में भी मुफ़्लिस की कुछ पुर्सिश नहीं दीन की ख़ातिर से दुनिया को तलब करना पड़ा
shaiḳh kī majlis meñ bhī muflis kī kuchh pursish nahīñ diin kī ḳhātir se duniyā ko talab karnā paḌā
5
क्या कहूँ बे-ख़ुद हुआ मैं किस निगाह-ए-मस्त से अक़्ल को भी मेरी हस्ती का अदब करना पड़ा
kyā kahūñ be-ḳhud huā maiñ kis nigāh-e-mast se aql ko bhī merī hastī kā adab karnā paḌā
6
इक़तिज़ा फ़ितरत का रुकता है कहीं ऐ हम-नशीं शैख़-साहिब को भी आख़िर कार-ए-शब करना पड़ा
iqtizā fitrat kā ruktā hai kahīñ ai ham-nashīñ shaiḳh-sāhib ko bhī āḳhir kār-e-shab karnā paḌā
7
आलम-ए-हस्ती को था मद्द-ए-नज़र कत्मान-ए-राज़ एक शय को दूसरी शय का सबब करना पड़ा
ālam-e-hastī ko thā madd-e-nazar katmān-e-rāz ek shai ko dūsrī shai kā sabab karnā paḌā
8
शेर ग़ैरों के उसे मुतलक़ नहीं आए पसंद हज़रत-ए-'अकबर' को बिल-आख़िर तलब करना पड़ा
sher ġhairoñ ke use mutlaq nahīñ aa.e pasand hazrat-e-'akbar' ko bil-āḳhir talab karnā paḌā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.