Ghazal

इक बोसा दीजिए मिरा ईमान लीजिए

Akbar Allahabadi· Ghazal· 5 shers· radif: लीजिए

This ghazal captures a playful and flirtatious expression of love, where the lover dramatically offers his faith in exchange for a single kiss. It wittily highlights the beloved's haughty charm, coquettish indifference, and the bittersweet complaints of devotion.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
इक बोसा दीजिए मिरा ईमान लीजिए गो बुत हैं आप बहर-ए-ख़ुदा मान लीजिए
ik bosa dījiye mirā īmān lījiye go but haiñ aap bahr-e-ḳhudā maan lījiye
2
दिल ले के कहते हैं तिरी ख़ातिर से ले लिया उल्टा मुझी पे रखते हैं एहसान लीजिए
dil le ke kahte haiñ tirī ḳhātir se le liyā ulTā mujhī pe rakhte haiñ ehsān lījiye
3
ग़ैरों को अपने हाथ से हँस कर खिला दिया मुझ से कबीदा हो के कहा पान लीजिए
ġhairoñ ko apne haath se hañs kar khilā diyā mujh se kabīda ho ke kahā paan lījiye
4
मरना क़ुबूल है मगर उल्फ़त नहीं क़ुबूल दिल तो न दूँगा आप को मैं जान लीजिए
marnā qubūl hai magar ulfat nahīñ qubūl dil to na dūñgā aap ko maiñ jaan lījiye
5
हाज़िर हुआ करूँगा मैं अक्सर हुज़ूर में आज अच्छी तरह से मुझे पहचान लीजिए
hāzir huā karūñgā maiñ akasr huzūr meñ aaj achchhī tarah se mujhe pahchān lījiye
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.