Ghazal
हया से सर झुका लेना अदा से मुस्कुरा देना
This ghazal captures the captivating charm, modesty, and coquetry of the beloved, showing how an effortless smile can bewitch and shatter a lover's heart. It highlights the tender paradox of romance, portraying the beloved as both the sole cause of the lover's sweet affliction and its only cure.
Source: rekhta · HI
Listen
No song yet
1
हया से सर झुका लेना अदा से मुस्कुरा देना
हसीनों को भी कितना सहल है बिजली गिरा देना
hayā se sar jhukā lenā adā se muskurā denā
hasīnoñ ko bhī kitnā sahl hai bijlī girā denā
2
ये तर्ज़ एहसान करने का तुम्हीं को ज़ेब देता है
मरज़ में मुब्तला कर के मरीज़ों को दवा देना
ye tarz ehsān karne kā tumhīñ ko zeb detā hai
maraz meñ mubtalā kar ke marīzoñ ko davā denā
3
बलाएँ लेते हैं उन की हम उन पर जान देते हैं
ये सौदा दीद के क़ाबिल है क्या लेना है क्या देना
balā.eñ lete haiñ un kī ham un par jaan dete haiñ
ye saudā diid ke qābil hai kyā lenā hai kyā denā
4
ख़ुदा की याद में महवियत-ए-दिल बादशाही है
मगर आसाँ नहीं है सारी दुनिया को भुला देना
ḳhudā kī yaad meñ mahviyat-e-dil bādshāhī hai
magar āsāñ nahīñ hai saarī duniyā ko bhulā denā
Comments · 0
Free — just your email. You'll come right back here.
No comments yet. Be the first.
