Ghazal

हवा-ए-शब भी है अम्बर-अफ़्शाँ उरूज भी है मह-ए-मुबीं का

Akbar Allahabadi· Ghazal· 5 shers· radif: का

This ghazal blends romantic ambiance with spiritual surrender against the backdrop of a fragrant, moonlit night. It celebrates the soul's yearning for selfless devotion and portrays humble prostration as the highest celestial and earthly honor.

Source: rekhta · HI

Listen
No song yet
Reading Script
1
हवा-ए-शब भी है अम्बर-अफ़्शाँ उरूज भी है मह-ए-मुबीं का निसार होने की दो इजाज़त महल नहीं है नहीं नहीं का
havā-e-shab bhī hai ambar-afshāñ uruuj bhī hai mah-e-mubīñ kā nisār hone kī do ijāzat mahal nahīñ hai nahīñ nahīñ kā
2
अगर हो ज़ौक़-ए-सुजूद पैदा सितारा हो औज पर जबीं का निशान-ए-सज्दा ज़मीन पर हो तो फ़ख़्र है वो रुख़-ए-ज़मीं का
agar ho zauq-e-sujūd paidā sitāra ho auj par jabīñ kā nishān-e-sajda zamīn par ho to faḳhr hai vo ruḳh-e-zamīñ kā
3
सबा भी उस गुल के पास आई तो मेरे दिल को हुआ ये खटका कोई शगूफ़ा न ये खिलाए पयाम लाई न हो कहीं का
sabā bhī us gul ke paas aa.ī to mere dil ko huā ye khaTkā koī shagūfa na ye khilā.e payām laa.ī na ho kahīñ kā
4
न मेहर ओ मह पर मिरी नज़र है न लाला-ओ-गुल की कुछ ख़बर है फ़रोग़-ए-दिल के लिए है काफ़ी तसव्वुर उस रू-ए-आतिशीं का
na mehr o mah par mirī nazar hai na lāla-o-gul kī kuchh ḳhabar hai faroġh-e-dil ke liye hai kaafī tasavvur us rū-e-ātishīñ kā
5
न इल्म-ए-फ़ितरत में तुम हो माहिर न ज़ौक़-ए-ताअत है तुम से ज़ाहिर ये बे-उसूली बहुत बुरी है तुम्हें न रक्खेगी ये कहीं का
na ilm-e-fitrat meñ tum ho māhir na zauq-e-tā.at hai tum se zāhir ye be-usūlī bahut burī hai tumheñ na rakkhegī ye kahīñ kā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.